असीरे फौज-ए-सितम क़ैदी-ए-मेहन ज़ैनब
है जिसका आयत-ए-ततहीर पैरहन ज़ैनब
इमामतों की मददगार ख़स्तातन ज़ैनब
है शान-ए-दीने ख़ुदा जान-ए-पंजतन ज़ैनब
अली की जाए है अब्बास की बहन ज़ैनब
असीरे फौज-ए-सितम क़ैदी-ए-मेहन ज़ैनब
वो वक़्ते अस्र वो मक़्तल वो सोगवार फ़ज़ा
नज़र के सामने भाई का कट रहा था गला
तड़प रहा था बदन ज़ेरे तेग़ प्यासे का
उधर थी मेहव-ए-फुग़ाँ शाह की बहन ज़ैनब
असीरे फौज-ए-सितम क़ैदी-ए-मेहन ज़ैनब
छुटा है भाई भी और मर चुके हैं बच्चे भी
रिदा भी सर पा नहीं जल चुके हैं ख़ैमें भी
जले हैं क़ल्ब भी दामन भी और कुर्ते भी
चली है छोड़ के भाई को बेकफ़न ज़ैनब
असीरे फौज-ए-सितम क़ैदी-ए-मेहन ज़ैनब
जवाँ का क़त्ल तो ख़ुद उसके दिल पा भाला था
था ग़म अज़ीम तो शब्बीर को संभाला था
क़दम जो ख़ैमें से पहले पहल निकाला था
सहारा देने को आई थी पुरमेहन ज़ैनब
असीरे फौज-ए-सितम क़ैदी-ए-मेहन ज़ैनब
दयार-ए-कूफ़ा में तक़रीर से जिहाद किया
दिया है शाम के दरबार में कभी ख़ुत्बा
कभी ख़ामोशी से मज़लूमियत को नश्र किया
कभी अली कभी ज़हरा कभी हसन ज़ैनब
असीरे फौज-ए-सितम क़ैदी-ए-मेहन ज़ैनब
ख़याल कुन्बे का था रो सकी न जी भर के
निकलने पाए न अरमान बिन्ते हैदर के
था एक क़ल्ब-ए-हज़ीं दाग़ थे बहत्तर के
लहद में ले गई ज़ख़्मों का ये चमन ज़ैनब
असीरे फौज-ए-सितम क़ैदी-ए-मेहन ज़ैनब
क़नात थाम ले ये अकबर-ए-जवाँ से कहो
सहारा देने को अये सानी-ए-अली उठो
बहन को अये शहे बेकस तुम्हीं सवार करो
चली है करबला से सुए वतन ज़ैनब
असीरे फौज-ए-सितम क़ैदी-ए-मेहन ज़ैनब
------------------------------------------------
Aseere fauj-e-sitam qaidi-e-mehan Zainab
Hai jiska ayat-e-tat'heer pairahan Zainab
Imamato'n ki madadgaar khasta tann Zainab
Hai Shaan-e-Deene Khuda Jaan-e-Panjatan Zainab
Ali ki jaayi hai Abbas ki bahan Zainab
Aseere fauj-e-sitam qaidi-e-mehan Zainab
Wo waqte asr wo maqtal wo sogwaar fazaa
Nazar ke saamne bhai ka katt raha tha gala
Tadap raha tha badan zere tegh pyaase ka
Udhar thi mehwe fughaa'n Shah ki bahan Zainab
Aseere fauj-e-sitam qaidi-e-mehan Zainab
Chhuta hai bhai bhi aur mar chuke hain bachhe bhi
Rida bhi sar pa nahi'n jal chuke hain khaime bhi
Jale hain qalb bhi daaman bhi aur kurte bhi
Chali hai chhor ke bhai ko bekafan Zainab
Aseere fauj-e-sitam qaidi-e-mehan Zainab
Jawa'n ka qatl to khud uske dil pa bhaala tha
Tha gham azeem to Shabbir ko sambhaala tha
Qadam jo khaime se pehle pahal nikaala tha
Sahara dene ko aayi thi pur mehan Zainab
Aseere fauj-e-sitam qaidi-e-mehan Zainab
Dayaar-e-kufa me taqreer se jihad kiya
Diya hai shaam ke darbaar me kabhi khutba
Kabhi khamoshi se mazloomiyat ko nashr kiya
Kabhi Ali kabhi Zehra kabhi Hasan Zainab
Aseere fauj-e-sitam qaidi-e-mehan Zainab
Khyaal kunbe ka tha ro saki na ji bhar ke
Nikalne paaye na armaan binte Haider ke
Tha ek qalbe hazee'n daagh the bahattar ke
Lahad me le gayi zakhmo'n ka ye chaman Zainab
Aseere fauj-e-sitam qaidi-e-mehan Zainab
Qanaat thaam le ye Akbar-e-jawa'n se kaho
Sahara dene ko aye Saani-e-Ali utho
Bahan ko aye Shah-e-Bekas tumhi sawaar karo
Chali hai Karbobala se suye watan Zainab
Aseere fauj-e-sitam qaidi-e-mehan Zainab
No comments:
Post a Comment
Comments are going to be moderated