Ghurbat mein Fatima ka aabaad ghar lutaa hai


ग़ुर्बत में फ़ातिमा का आबाद घर लुटा है

यह करबला में "अख़्तर" क्या सानेहा हुआ है
लाशें पड़े हैं किसके ख़ूँ किसका ये बहा है
ठहरे नज़र जहाँ भी मंज़र लहू भरा है
मैदान का ज़र्रा ज़र्रा आवाज़ दे रहा है
ग़ुर्बत में फ़ातिमा का आबाद घर लुटा है

ख़ैमे के दर पर बच्चे कूज़े लिए खड़े हैं
अब्बास सर से पा तक खूँ में नहा गए हैं
मश्कीज़ा छिद गया है शानें कटे हुए हैं
थामें हुए कमर को शब्बीर रो रहे हैं
ग़ुर्बत में फ़ातिमा का आबाद घर लुटा है

कूफ़े में दाख़िला भी उफ़्ताद एक नई थी
बेदर्द रास्तों पर औलाद मुस्तफ़ा की
सहमी हुई सकीना आँखों में एक उदासी
ज़ैनब की बेरिदाई सज्जाद की असीरी
ग़ुर्बत में फ़ातिमा का आबाद घर लुटा है

दरबार शाम का था और क़ाफ़िला खड़ा था
सरदार-ए-दोजहाँ का सर तश्त में रखा था
होंटों पर शाह-ए-दीं के वो ज़ुल्म हो रहा था
ज़ैनब के तनबदन में लरज़ा पड़ा हुआ था
ग़ुर्बत में फ़ातिमा का आबाद घर लुटा है

बिगड़ी हुई वो दुनिया बदला हुआ ज़माना
कमसिन यतीम बच्ची ज़ालिम का ताज़ियाना
रौशन ज़मीर क़ैदी तारीक क़ैदख़ाना
माँ पीटती रही सर और चल बसी सकीना
ग़ुर्बत में फ़ातिमा का आबाद घर लुटा है

----------------------------------------------
Ghurbat mein Fatima ka aabaad ghar lutaa hai

Yeh Karbala mein "Akhtar" kya saaneha huwa hai
Laashe pade hain kiske khoo’n kiska ye baha hai
Thehre nazar jahaan bhi manzar lahu bhara hai
Maidaan ka zarra zarra aawaaz de raha hai
Ghurbat mein Fatima ka aabaad ghar lutaa hai

Khaime ke dar pa bachche kooze liye khade hain
Abbas sar se paa tak khoon mein nahaa gaye hain
Mashkeeza chhid gaya hai shaaney katey huwe hain
Thame huwe kamar ko Shabbir ro rahey hain
Ghurbat mein Fatima ka aabaad ghar lutaa hai

Koofe mein daakhila bhi uftaad ek nayi thi
Bedard raaston par aulaad Mustafa ki
Sahmi huwi Sakina ankhon mein ek udaasi
Zainab ki beridaayi Sajjad ki aseeri
Ghurbat mein Fatima ka aabaad ghar lutaa hai

Darbar shaam ka tha aur qafila khada tha
Sardaar-e-dojahaan ka sar tasht mein rakha tha
Honton pa Shaah-e-Deen ke woh zulm ho raha tha
Zainab ke Tanbadan mein larzaan pada huwa tha
Ghurbat mein Fatima ka abaad ghar lutaa hai

Bigdi huyi woh duniya badlaa huwa zamaana
Kamsin yateem bachchi zaalim ka taaziyana
Raushan zameer qaidi taareek qaidkhaana
Maa'n peet’ti rahi sar aur chal basi Sakina
Ghurbat mein Fatima ka aabaad ghar lutaa hai

No comments:

Post a Comment

Comments are going to be moderated

Aseere fauj-e-sitam qaidi-e-mehan Zainab

असीरे फौज-ए-सितम क़ैदी-ए-मेहन ज़ैनब है जिसका आयत-ए-ततहीर पैरहन ज़ैनब इमामतों की मददगार ख़स्तातन ज़ैनब है शान-ए-दीने ख़ुदा जान-ए-पंजतन ज़ैनब ...