कैसा ख़ुदा के घर में यह सजदा अली का है
डूबा हुआ लहू में मुसल्ला अली का है
अल्लाह आज कैसा सवेरा अली का है
रंगीन अपने ख़ून से चेहरा अली का है
मैं कामयाब हो गया अल्लाह की क़सम
ज़रबत का वार सह कर यह जुमला अली का है
अहले अज़ा यह रात क़यामत की रात है
ग़म से निढाल आज घराना अली का है
इस शब यतीम हो गये ज़हरा के नूर-ए-ऐन
जो उठ गया सरों से वो साया अली का है
ज़ैनब लिपट के रोतीं हैं उम्म-उल-बनीं से
उठने से अब क़रीब जनाज़ा अली का है
कहते हैं सर को पीट के मौला के सोगवार
ज़हरा क़बूल कीजिए पुरसा अली का है
आखों से मेरे अश्क रुके किस तरह "फ़रीद"
ताबूत आज सामने मौला अली का है
कैसा यह ख़ुदा के घर में यह सजदा अली का है
------------------------------------------------------
Kaisa Khuda ke ghar me yeh sajda Ali ka hai
Dooba hua lahoo me mussalla Ali ka hai
Allah aaj kaisa savera Ali ka hai
Rangeen apne khoon se chhera Ali ka hai
Main kaamyaab ho gaya Allah ki qasam
Zarbat ka waar sah kar yeh jumla Ali ka hai
Ahale aza yeh raat qayamat ki raat hai
Gham se nidhaal aaj gharana Ali ka hai
Is shab yateem ho gaye Zehra ke noor-e-ain
Jo uth gaya saron se woh saya Ali ka hai
Zainab lipat ke roti hain Umm-ul-Baneen se
Uthne se ab qareeb janaza Ali ka hai
Kahte hain sar ko peet ke Maula ke sogwaar
Zehra qabool keejiye pursa Ali ka hai
Aakhon se mere ashq ruke kis tarah "Fareed"
Taboot aaj saamne Maula Ali ka hai
Kaisa yeh Khuda ke ghar me yeh sajda Ali ka hai
No comments:
Post a Comment
Comments are going to be moderated