Haye Ali qatl ho gaye

हाय अली क़त्ल हो गये
जिबरील दे रहे थे निदा के गज़ब हुआ
हैदर को क़त्ल ख़ाना-ए-ख़ालिक़ में कर दिया
हाय अली क़त्ल हो गये

शहज़ादियों ने ज्यों ही सुनी ग़म की ये सदा
बेताब हो के रोई और हसनैन से कहा
मस्जिद में जा के देखो ज़रा क्या है माजरा
ये कौन कह रहा है हुए क़त्ल मुरतज़ा 
हाय अली क़त्ल हो गये

ज़र्ब-ए-लईं से हो गया जिस दम दो पारा सर
उस दम अलम से हिलते थे मस्जिद के बाम-ओ-दर
मेहराब और मुसल्ला हुआ सारा खून में तर
काँपा फ़लक तो ज़लज़ला आया ज़मीन पर
हाय अली क़त्ल हो गये

दौड़े ये सुनते ही सू-ए-मस्जिद हसन हुसैन
देखा नमाज़ी करते हैं नाले बा-शोर-ओ-शैन
अपने लहू में लोटते हैं शाहे मशरेक़ैन
पाया पेदर को ऐसे किए दोनो ने ये बैन
हाय अली क़त्ल हो गये

देखा नमाज़ियों ने जो बेटों को हट गये
हसनैन बढ़ के अपने पेदर से लिपट गये
नाले किए वो सुनके जिगर ग़म से फट गये
रिक़्क़त से दोस्तों के कलेजे उलट गये
हाय अली क़त्ल हो गये

याँ हो रही थी सीनाज़नी नाला-ओ-बुका
आई कहीं क़रीब से फ़िज़्ज़ा की ये सदा
ज़हरा की बेटियों को नहीं यारा ज़ब्त का
बेचैन है वो देखने को हाले मुरतज़ा
हाय अली क़त्ल हो गये

क्या हाल है पेदर का ना आकर बताओगे
हसनैन से कहो के जो उनसे छुपाओगे
हैदर को जल्द घर में अगर तुम ना लाओगे
ज़ैनब को सर खुले हुए मस्जिद में पाओगे
हाय अली क़त्ल हो गये

आवाज़ सुनके बोले अली ये बजा नहीं
हम बेसहारा बेकसो बेआशना नहीं
है पास सब रफ़ीक़ ये अहले जफ़ा नहीं
कूफ़ा है कह दो बेटी से ये करबला नहीं 
हाय अली क़त्ल हो गये

हसनैन ले के बाबा को पहुँचे क़रीब-ए-दर
सब हट गये "अनीस" जो आया अली का घर
बेताब होके बेटियाँ निकली बारहना सर
लिपटी पदर से आ हुई इस तरहा नौहागार
हाय अली क़त्ल हो गये

---------------------------------------------

Haye Ali qatl ho gaye
Jibreel de rahe the nida ke ghazab hua
Haider ko qatl khana-e-khaliq me kar diya
Haye Ali qatl ho gaye

Shehzadiyo ne jyon hi suni gham ki ye sada
Betaab hoke royi aur Hasnain se kaha
Masjid me jaake dekho zara kya hai maajra
Ye kaun keh raha hai hue qatl Murtaza
Haye Ali qatl ho gaye

Zarbe layeen se hogaya jis dam do para sar
Us dam alam se hilte the masjid ke baam-o-dar
Mehraab aur musalla hua saara khoon me tar
Kaanpa falak to zalzala aaya zameen par
Haye Ali qatl ho gaye

Daude ye sunte hi suye masjid Hassan Hussain
Dekha namazi karte hai naale ba shoro shain
Apne lahoo me lautte hai Shah-e-Mashreqain
Paaya pidar ko aise kiye dono ne ye bain
Haye Ali qatl ho gaye

Dekha namaziyo ne jo beton ko hat gaye
Hasnain badh ke apne pidar se lipat gaye
Naale kiye wo sunke jigar gham se phat gaye
Riqqat se doston ke kaleje ulat gaye
Haye Ali qatl ho gaye

Yan ho rahi thi seena zani naala-o-buka
Aayi kahin qareeb se Fizza ki ye sada
Zehra ki betiyon ko nahi yaara zabt ka
Bechain hai wo dekhne ko haale Murtaza
Haye Ali qatl ho gaye

Kya haal hai pidar ka na aakar bataoge
Hasnain se kaho ke jo unse chupaoge
Haider ko jald ghar me agar tum na laaoge
Zainab ko sar khule hue masjid me paaoge
Haye Ali qatl ho gaye

Aawaaz sunke bole Ali ye baja nahi
Hum besahara bekaso beaashna nahi
Hai paas sab rafeeq ye ahle jafa nahi
Kufa hai kah do beti se ye Karbala nahi
Haye Ali qatl ho gaye

Hasnain leke baba ko pahunche qareeb-e-dar
Sab hat gaye "Anees" jo aaya Ali ka ghar
Betaab hoke betiyan nikli barehna sar
Lipti pidar se aah hui is tarha nauhagar
Haye Ali qatl ho gaye

No comments:

Post a Comment

Comments are going to be moderated

Aseere fauj-e-sitam qaidi-e-mehan Zainab

असीरे फौज-ए-सितम क़ैदी-ए-मेहन ज़ैनब है जिसका आयत-ए-ततहीर पैरहन ज़ैनब इमामतों की मददगार ख़स्तातन ज़ैनब है शान-ए-दीने ख़ुदा जान-ए-पंजतन ज़ैनब ...