आती है गर्दूं से ये पैहम सदा
क़त्ल हुए सजदे में शेरे खुदा
ख़ाना-ए-हक़ में ये गज़ब हो गया
क़त्ल हुए सजदे में शेरे खुदा
ग़म से है ज़ैनब निढाल
खोल दिए सर के बाल
कहती है ये पुरमलाल
देखो तो बाबा कहाँ
देते है जिबरील ये कैसी निदा
क़त्ल हुए सजदे में शेरे खुदा
आती है गर्दूं से ये पैहम सदा
क़त्ल हुए सजदे में शेरे खुदा
साथ पड़े जलवागर
कहती हैं सर पीट कर
फटता है मेरा जिगर
कोई तो लाए खबर
घर में ख़ुदा के ये सितम क्या हुआ
क़त्ल हुए सजदे में शेरे खुदा
आती है गर्दूं से ये पैहम सदा
क़त्ल हुए सजदे में शेरे खुदा
देखो तो हसनैन जा
बाबा को घर मे तो लाओ
कैसा लगा सर पे घाव
मुझको ख़ुदारा बताओ
पूछो तो जर्राह से होगी शिफ़ा
क़त्ल हुए सजदे में शेरे खुदा
आती है गर्दूं से ये पैहम सदा
नश्तरे ग़म दिल पर खाये
दौड़ कर हसनैन आये
देखा अजब हाल हाय
ख़ून में है बाबा नहाए
फ़र्श से ताअर्श है महशर बपा
क़त्ल हुए सजदे में शेरे खुदा
आती है गर्दूं से ये पैहम सदा
क़त्ल हुए सजदे में शेरे खुदा
हाय क़यामत हुई
तेग़ सितम की चली
मारा गया अली-ए-वली
गिरया है रूहे नबी
कैसी लईं ने ये की जोरो-जफ़ा
क़त्ल हुए सजदे में शेरे खुदा
आती है गर्दूं से ये पैहम सदा
क़त्ल हुए सजदे में शेरे खुदा
अये मेरे ज़ख़्मी इमाम
तुम पर दूरूद-ओ-सलाम
ख़ूब की तबलीग़-ए-आम
दे दिया क़ातिल को जाम
होगा अनीस ऐसा कोई पेशवा
क़त्ल हुए सजदे में शेरे खुदा
आती है गर्दूं से ये पैहम सदा
क़त्ल हुए सजदे में शेरे खुदा
-------------------------------------
Aati hai gardoon se ye paiham sada
Qatl hue sajde may Sher-e-Khuda
Khan-e-haq may ye ghazab ho gaya
Qatl hue sajde may Sher-e-Khuda
Gham se hai Zainab nidhaal
Khol diye sar ke baal
Kehti hai ye purmalaal
Dekho to baba kahan
Dete hai Jibreel ye kaisi nida
Qatl hue sajde may Sher-e-Khuda
Aati hai gardoon se ye paiham sada
Qatl hue sajde may Sher-e-Khuda
Saath pade jalwagar
Kehti hai sar peet kar
Phat-ta hai mera jigar
Koi to laaye khabar
Ghar may Khuda ke ye sitam kya hua
Qatl hue sajde may Sher-e-Khuda
Aati hai gardoon se ye paiham sada
Qatl hue sajde may Sher-e-Khuda
Dekho to Hasnain ja
Baba ko ghar may to lao
Kaisa laga sar pe ghao
Mujhko Khudara batao
Poocho to jarraah se hogi shifa
Qatl hue sajde may Sher-e-Khuda
Aati hai gardoon se ye paiham sada
Qatl hue sajde may Sher-e-Khuda
Nashtare gham dil pa khaye
Daud kar Hasnain aaye
Dekha ajab haal hai
Khoon may hai baba nahaye
Firsh se ta-arsh hai mehshar bapa
Qatl hue sajde may Sher-e-Khuda
Aati hai gardoon se ye paiham sada
Qatl hue sajde may Sher-e-Khuda
Haye qayamat hui
Tegh sitam ki chali
Mara gaya Ali-e-Wali
Girya-e-rooh-e-Nabi
Kaisi layeen ne ye ki joro-jafa
Qatl hue sajde may Sher-e-Khuda
Aati hai gardoon se ye paiham sada
Qatl hue sajde may Sher-e-Khuda
Aye mere zakhmi Imam
Tum par Durood-o-Salaam
Khoob ki tableegh-e-aam
De diya qatil ko jaam
Hoga "Anees" aisi koi peshwa
Qatl hue sajde may Sher-e-Khuda
Aati hai gardoon se ye paiham sada
No comments:
Post a Comment
Comments are going to be moderated