Har Durood aur har salaam


हर दुरूद और हर सलाम
मादरे हुसैन तेरे नाम

ज़ौजा-ए-अली-ए-सरबलंद
फ़ातेमा अज़ीम अर्जमंद
जिसके आस्तान-ए-पाक के  
क़ुदसियान-ए-अर्श हैं ग़ुलाम

हर दुरूद और हर सलाम
मादरे हुसैन तेरे नाम

हाँ वो फ़ातेमा वो फ़ातेमा
आरज़ू-ए-क़ल्बे मुस्तफ़ा
जिसके लाडले हसन हुसैन
जिसकी बेटियाँ फ़लक मुक़ाम

हर दुरूद और हर सलाम
मादरे हुसैन तेरे नाम

कट रहा था फ़र्क़-ए-शाहे दीं 
चल रहा था ख़ंजरे लईं
बीबी आप देखती रहीं
मिट गये हरम जले ख़्याम

हर दुरूद और हर सलाम
ख़्वाहरे हुसैन तेरे नाम

सानिए जनाबे सय्यदा
अल्लाह अल्लाह तेरा हौसला
ख़ूब की हिफ़ाज़ते हरम
बाद क़त्ले सय्यदे अनाम

हर दुरूद और हर सलाम
ख़्वाहरे हुसैन तेरे नाम
  
बीबी ग़म उठाए हैं बहोत
दिल पे दाग़ खाए हैं बहोत
तुझपे अये हुसैन की बहन
हो गईं मुसीबतें तमाम

हर दुरूद और हर सलाम
ख़्वाहरे हुसैन तेरे नाम

करबला में अपने दिलरुबा
कर दिये हुसैन पर फ़िदा
औन और मोहम्मदे जरी
हो गए शहीद तशनाकाम

हर दुरूद और हर सलाम
ख़्वाहरे हुसैन तेरे नाम

दौलटे बुतूल लुट गयी
दुख़्तरे रसूल लुट गयी
छिन गई सरों से चादरें
जल गये हुसैन के ख़्याम

हर दुरूद और हर सलाम
ख़्वाहरे हुसैन तेरे नाम

मय्यते पड़ी हैं बेकफ़न
क्या करे हुसैन की बहन
बेकसी और ऐसी बेकसी
शाम और करबला की शाम

हर दुरूद और हर सलाम
ख़्वाहरे हुसैन तेरे नाम

इंक़लाबे वक़्त देखिए
इम्तहाने सख़्त देखिए
सर खुले रसूलज़ादीयाँ 
और अहले शर का इज़्दिहाम

हर दुरूद और हर सलाम
ख़्वाहरे हुसैन तेरे नाम

हर दुरूद और हर सलाम
दुख़्तरे हुसैन तेरे नाम

शिम्र किबरिया का वास्ता
तुझको मुस्तफ़ा का वास्ता
बिन्ते शाह के गोहर ना छीन
मुब्तेला-ए-ग़म है तशनाकाम

हर दुरूद और हर सलाम
दुख़्तरे हुसैन तेरे नाम

शिम्र के तमाचे खायें हैं
बीबी कितने ग़म उठायें हैं
बाप की जुदाई कम ना थी
उसपे क़ैद के सितम मुदाम

हर दुरूद और हर सलाम
दुख़्तरे हुसैन तेरे नाम

बीबी आप पर सितम हुए
मर गयीं पेदर का ग़म लिए
हये जीते जी ना छुट सका
क़ैदख़ाना-ए-अमीरे शाम

हर दुरूद और हर सलाम
दुख़्तरे हुसैन तेरे नाम

अर्जमंद - उच्च, मान्य,कामयाब, नेक, अक़लमंद
क़ुदसियान - फ़रिश्ते
इज़्दिहाम - भीड़, मजमा, हुजूम
-----------------------------

Har Durood aur har salaam
Madare Hussain tere naam

Zauja-e-Ali-e-sarbuland
Fatema azeem arjmand
Jiske aastan-e-paak ke  
Qudsiyan-e-arsh hai ghulam

Har Durood aur har salaam
Madare Hussain tere naam

Hai wo Fatema wo Fatema
Aarzoo-e-qalb-e-Mustafa
Jiske laadle Hasan Hussain
Jiski betiyan falak muqaam

Har Durood aur har salaam
Madare Hussain tere naam

Kat raha tha farq-e-shahe deen
Chal raha tha khanjar-e-layeen
Bibi aap dekhti rahi
Mit gaye haram jal gaye khyaam

Har Durood aur salaam
Khwahar-e-Hussain tere naam

Sani-e-janabe Sayyada
Allah allah tera hausla
Khoob ki hifazat-e-haram
Baad qatle Sayyad-e-anaam

Har Durood aur salaam
Khwahar-e-Hussain tere naam

Bibi gham uthaye hain bahot
Dil pe daagh khaaye hain bahot
Tujpe aye Hussain ki behan
Ho gayi musibatein tamaam

Har Durood aur salaam
Khwahar-e-Hussain tere naam

Karbala me apne dilruba
Kar diye Hussain par fida
Aun aur Mohammade jari
Ho gaye shaheed tashnakaam

Har Durood aur salaam
Khwahar-e-Hussain tere naam

Daulat-e-Batool lut gayi
Dukhtar-e-Rasool lut gayi
Chin gayi saro se chadarein
Jal gaye Hussain ke khyaam

Har Durood aur salaam
Khwahar-e-Hussain tere naam

Mayyate padi hai bekafan
Kya kare Hussain ki behan
Bekasi aur aisi bekasi
Shaam aur Karbala ki shaam

Har Durood aur salaam
Khwahar-e-Hussain tere naam

Inqalaab-e-waqt dekhiye
Imtihaan-e-sakht dekhiye
Sar khule Rasool-zadiyan
Aur ahle shar ka izdihaam

Har Durood aur salaam
Khwahar-e-Hussain tere naam

Har Durood aur salaam
Dukhtar-e-Hussain tere naam

Shimr kibriya ka waasta
Tujhko Mustafa ka waasta
Binte Shah ke gohar na cheen
Mubtela-e-gham hai tashnakaam

Har Durood aur salaam
Dukhtar-e-Hussain tere naam

Shimr ke tamache khaaye hai
Bibi kitne gham uthaye hai
Baap ki judaai kam na thi
Tujpe qaid ke sitam mudaam

Har Durood aur salaam
Dukhtar-e-Hussain tere naam

Bibi aap par sitam huwe
Mar gayi pidar ka gham liye
Haye jeete ji na chuth saka
Qaidkhan-e-ameere shaam

Har Durood aur salaam
Dukhtar-e-Hussain tere naam

No comments:

Post a Comment

Comments are going to be moderated

Aseere fauj-e-sitam qaidi-e-mehan Zainab

असीरे फौज-ए-सितम क़ैदी-ए-मेहन ज़ैनब है जिसका आयत-ए-ततहीर पैरहन ज़ैनब इमामतों की मददगार ख़स्तातन ज़ैनब है शान-ए-दीने ख़ुदा जान-ए-पंजतन ज़ैनब ...