या हुसैन
या हुसैन
हुर की सूरत जो समझ में कहीं आ जाए हुसैन
एक एक साँस सदा देने लगे हाय हुसैन
सर उठाता नहीं सजदे से ख़ुदा का महबूब
आप ही पुश्त से जब तक ना उतर जाए हुसैन
मौत भी आई तो क़दमों से उठी ले के हयात
बन गई ख़ाके शिफ़ा ख़ाके कफ़-ए-पाई हुसैन
ताहयात एक के बाद एक पिसर राहिब को
बख़्शता जाये ख़ुदा कहता अगर जाये हुसैन
छोड़कर आ गए क्यों रन में असग़र को
किस तरह बानो-ए-दिलगीर को समझाए हुसैन
शिम्र ने हल्क़ पे प्यासे के जो ख़ंजर रखा
कुंद ख़ंजर से सदा आने लगी हाय हुसैन
रो के ज़ैनब ने कहा कैसे सँभालू दिल को
बेकफ़न देख के तुझ को मेरे माँ-जाये हुसैन
रख के सर सजदा-ए-माबूद में सरवर ने कहा
जो है मंशा-ए-इलाही है वो मंशा-ए-हुसैन
वास्ता दे के हुसैन इबने अली का माँगो
रद्द नहीं करता ख़ुदा कोई तमन्ना-ए-हुसैन
या हुसैन
या हुसैन
-------------------------------------------
Ya Hussain
Ya Hussain
Hur ki soorat jo samajh me kahin aa jaaye Hussain
Ek ek saans sadaa dene lage haye Hussain
Sar uṭhaata naheen sajde se Khuda ka Mahboob
Aap hee pusht se jab tak na utar jaaye Hussain
Maut bhee aaii to qadamon se uṭhee le ke hayaat
Ban gayii khaake shifa khaake kafe paaye Hussain
Ta-hayaat ek ke baad ek pisar Rahib ko
Bakhshtaa jaaye khuda kahta agar jaaye Hussain
Chorrkar aa gaye kyon ran men Asghar ko
Kis tarah Bano-e-Dilgeer ko samajhaye Hussain
shimr ne halq pe pyaase ke jo khanjar rakha
Kund khanjar se sadaa aane lagee haye Hussain
Ro ke Zainab ne kahaa kaise sambhaloo dil ko
Bekafan dekh ke tujh ko mere maa-jaaye Hussain
Rakh ke sar sajda-e-maabood men Sarwar ne kaha
Jo hai Mansha-e-Ilahi hai vo Mansha-e-Hussain
Vaasta de ke Hussain ibne Ali ka maango
Radd naheen karta Khuda koii Tamanna-e-Hussain
Ya Hussain
Ya Hussain
No comments:
Post a Comment
Comments are going to be moderated