बेपरदा हरम शाम के बाज़ार में जाना
सज्जाद से पूछो
और नाम नबीज़ादी का दरबार में आना
सज्जाद से पूछो
चालीस शबो रोज़ की जागी हुई ज़ैनब
गश खा के गिरी जब
उस वक़्त सितमगार का दुर्रों से जगाना
सज्जाद से पूछो
पहचाना जोही हिंद ने ज़ैनब का रुख़े पाक
दिल ग़म से हुआ चाक
और रो के नबीज़ादी का अहवाल सुनाना
सज्जाद से पूछो
माँ बहनों के सर को जो खुला देख ना पाया
हैदर का दुलारा
नैज़े से ज़मीं पर सरे अब्बास का आना
सज्जाद से पूछो
तारीकी-ए-ज़िंदां वो सकीना वो अंधेरा
जब मौत ने घेरा
उन आख़री लम्हात में बाबा को बुलाना
सज्जाद से पूछो
मासूम सकीना ने जो हाथों को उठाया
बाबा को बुलाया
बेटी की सदा पर सरे शब्बीर का आना
सज्जाद से पूछो
जब थक के दौराने सफ़र राह में बैठा
तक़दीर का मारा
हर बार सितमगार का ज़ंजीर हिलाना
सज्जाद से पूछो
रोता था कभी सोच के वो आलमे ग़ुरबत
हर लम्हा क़यामत
आँखों से लहू क़ल्ब का हर गाम बहाना
सज्जाद से पूछो
असग़र की लहद थी जो कड़ी धूप में 'मज़हर'
सदमा था ये दिल पर
इस ग़म के सबब साये में, बानो का ना जाना
सज्जाद से पूछो
बेपरदा हरम शाम के बाज़ार में जाना
-----------------------------------------------
Beparda haram shaam ke baazar me jana
Sajjad se pucho
Aur naam Nabizadi ka darbar me aana
Sajjad se pucho
Chalees shabo roz ki jaagi hui Zainab
Gash khake giri jab
Us waqt sitamgaron ka durro se jagana
Sajjad se pucho
Pehchana johi hind ne Zainab ka rukhe paak
Dil gham se hua chaak
Aur ro ke Nabizadi ka ahwaal sunana
Sajjad se pucho
Maa behno ke sar ko jo khula dekh na paya
Haider ka dulaara
Naize se zami par sare Abbas ka aana
Sajjad se pucho
Tareekye zinda woh Sakina woh andhera
Jab maut ne ghera
Un aakhri lamhaat me baba ko bulaana
Sajjad se pucho
Masoom Sakina ne jo haatho ko uthaaya
Baba ko bulaya
Beti ki sada par sare Shabbir ka aana
Sajjad se pucho
Jab thak ke daurane safar raah me baitha
Taqdeer ka mara
Har baar sitamgaar ka zanjeer hilana
Sajjad se pucho
Rota tha kabhi soch ke woh aalame ghurbat
Har lamha qayamat
Aankho se lahu qalb ka har gaam bahana
Sajjad se pucho
Asgar ki lahad thi jo kadi dhup me 'Mazhar'
Sadma tha ye dil par
Is gham ke sabab saaye me Bano ka na jana
Sajjad se pucho
Beparda haram shaam ke baazar me jana
No comments:
Post a Comment
Comments are going to be moderated