Salaam-e-Aakhir


सलाम ख़ाक नशीनों पे सोगवारों का
ग़रीब देतें हैं पुरसा तुम्हारे प्यारों का

सलाम उन पर जिन्हें शर्म खाए जाती है
खुले सरों पे असीरी की ख़ाक आती है

सलाम उस पर जो ज़हमतकशे सलासिल है
मुसीबतों में इमामत की पहली मंज़िल है

सलाम भेजते है अपनी शाहज़ादी पर
के जिनको सौंप गये मरते वक़्त घर सरवर

मुसाफ़िरत ने जिसे बेबसी ये दिखलाई
निसार कर दिए बच्चे, ना बच सका भाई

असीर हो के जिसे शामियों के नरग़े में
हुसैनियत है सिखाना अली के लहजे में

सकीना बीबी तुम्हारे ग़ुलाम हाज़िर हैं
बुझे जो प्यास तो अश्क़ों के जाम हाज़िर हैं 

ये सिन, ये हश्र ,ये सदमे नये नये बीबी
कहाँ पा बैठी हो ख़ैमें तो जल गये बीबी

पहाड़ रात बड़ी देर है सवेरे में
कहाँ हो शाम-ए-ग़रीबाँ के घुप अंधेरे में

ज़मीन गर्म, यतीमी की सख़्तियाँ बीबी
वो सीना जिसे पा के सोती थी अब कहाँ बीबी

जनाबे मादरे बेशीर को भी सब का सलाम
अजीब वक़्त है क्या दें तसल्लियों का पयाम

अभी कलेजे में एक आग सी लगी होगी
अभी तो गोद की गर्मी ना कम हुई होगी

नहीं अंधेरे मैं कुछ सूझता कहाँ ढूँढें
तुम्हारा चाँद कहाँ छुप गया कहाँ ढूँढें

ना इस तरह कोई खेती हरी भरी उजड़ी
तुम्हारी माँग भी उजड़ी है कोख भी उजड़ी

नहीं लईनों में इंसां कोई ख़ुदा हाफ़िज़
दरिंदे और ये बेवारिसी ख़ुदा हाफ़िज़

सलाम मोहसिने इस्लाम ख़स्ता तन लाशों
सलाम तुम पे शहीदों के बेकफ़न लाशों

शरीके हक़्क़े दुरूदो सलामे पैग़म्बर
सलाम सय्यदे लौलाक के लुटे घर पर

सलाम तुम पे रसूल-ओ-बतूल के प्यारों
सलाम मेहरे इमामत के गिर्द सय्यारों 

बचे तो अगले बरस हम हैं और ये ग़म फिर है
जो चल बसे तो ये अपना सलामे आख़िर है

----------------------------------------------------

Salaam khaak nasheeno par sogwaron ka
Ghareeb dete hai pursa tumhare pyaro ka

Salaam un par jinhe sharm khaaye jaati hai
Khule saron pe aseeri ki khaak aati hai

Salaam us par jo zahmatkashe salaasil hai
Musibaton may Imamat ki pehli manzil hai

Salaam bhejte hai apni Shaahzadi par
Ke jisko sawnp gaye marte waqt ghar sarwar

Musafirat ne jise bebasi ye dikhlayi
Nisaar kar diye bache na bach saka bhai

Aseer ho ke jise shaamiyo ke narghay may
Husainiyat hai sikhaana Ali ke lehje may

Sakina bibi tumhare ghulam haazir hai
Bujhe jo pyas to ashqon ke jaam haazir hai

Ye sin, ye hashr ye sadmay naye naye bibi
Kahan pa baithi ho khaime to jal gaye bibi

Pahaar raat bari der hai sawere may
Kahan ho shaam-e-ghareeban ke ghup andhere may

Zameen garm, yateemi ki sakhtiyan bibi
Wo seena jis pa ke soti thi ab kahan bibi

Janaab-e-maadar-e-besheer ko bhi sab ka salaam
Ajeeb waqt hai kya dein tasalliyon ka payaam

Abhi kaleje may ek aag si lagi hogi
Abhi to kokh ki garmi na kam hui hogi

Nahin andhere main kuch soojhta kaha dhundhen
Tumhara chaand kahan chhup gaya kaha dhundhen

Na is tarah koi kheti hari bhari ujdi
Tumhari maang bhi ujri hai godh bhi ujdi

Nahi layeeno may insaan koi khuda hafiz
Darinde aur ye be-warisi khuda hafiz

Salaam Mohsin-e-Islam khasta tan laasho
Salaam tum pe shaheedon ke be kafan laasho

Shareek-e-haq Darood-o-salaam-e-Payghambar
Salaam Sayyed-e-Lawlaak ke lute ghar par

Salaam tum pe Rasool-o-Batool ke pyaro
Salaam Mehr-e-Imamat ke gird sayyaro

Bache to agle baras ham hain aur ye gham phir hai
Jo chal base to ye apna Salaam-e-Aakhir hai

1 comment:

  1. SA,
    Bhai, mashaallah bohut hi achcha kaam kar rahein hain.
    YOUR DOMAIN IS EXPIRING ON 15 OCT 21.
    PLEASE RENEW so this resource continues to be available to momineen.

    ReplyDelete

Comments are going to be moderated

Aseere fauj-e-sitam qaidi-e-mehan Zainab

असीरे फौज-ए-सितम क़ैदी-ए-मेहन ज़ैनब है जिसका आयत-ए-ततहीर पैरहन ज़ैनब इमामतों की मददगार ख़स्तातन ज़ैनब है शान-ए-दीने ख़ुदा जान-ए-पंजतन ज़ैनब ...