Bakhuda Hussain ne Deen ko bacha liya


फ़ातेमा के चैन ने, अली के नूरे ऐन ने
बाख़ुदा हुसैन ने, दीन को बचा लिया

हर्फ़ आ रहा था दीने मुस्तफ़ा के नाम पर
मिम्बर-ए-रसूल बिक रहा था तख़्ते शाम पर
दीन की असास ने दस्त-ए-हक़ शनास ने
उम्मते मोहम्मदी को ख़्वाब से जगा दिया
दीन को बचा लिया
फ़ातेमा के चैन ने

हर तरफ से बंद हो चुके थे हक़ के रास्ते
खून माँगता था दीन ज़िंदगी के वास्ते
दीन के उसूल ने नायब-ए-रसूल ने
ज़िंदगी का क़र्ज़ अपने ख़ून से चुका दिया
दीन को बचा लिया
फ़ातेमा के चैन ने

हौलनाकियों में मौत के हयात खो गयी
कुफ़्र की घटा उठी रह-ए-निजात खो गयी
शाहे ज़ुलजलाल ने सय्यदा के लाल ने
ऐसे वक़्त में शऊर-ए-आगही अता किया
दीन को बचा लिया
फ़ातेमा के चैन ने

अमीरे शाम बन गया था साँप आस्तीन का
ख़ुसरवी के सर पे रख रहा था ताज दीन का
बादशाह-ए-दीन ने बोरिया-नशीन ने
आरज़ू-ए-ख़ुसरवी को ख़ाक में मिला दिया
दीन को बचा लिया
फ़ातेमा के चैन ने

फिर से शिर्क की तरफ़ पलट ना जाए आदमी
राह-ए-मुस्तक़ीम से भटक ना जाए आदमी
शाह-ए-तश्नाकाम ने वक़्त के इमाम ने
हक़ की राह पर लहू से एक दिया जला दिया
दीन को बचा लिया
फ़ातेमा के चैन ने

बढ़ते बढ़ते बात जब उसूल-ए-दीन पे आ गयी
और यज़ीदीयत की शक्ल में उरूज पा गयी
बढ़के फिर दिलेर ने शेर-ए-हक़ के शेर ने
दोपहर में तख़्त-ओ-ताज क़सरे शाम ढा दिया
दीन को बचा लिया
फ़ातेमा के चैन ने

हल्क़-ए-बेज़बाँ से ज़ुल्म की कमान तोड़ दी
शहरग-ए-गुलू से ख़ंजरों की धार मोड़ दी
नाज़िश-ए-हयात ने फ़ख़्रे कायनात ने
सर कटा के आदमी का सर बलंद कर दिया
दीन को बचा लिया
फ़ातेमा के चैन ने

दिल कहा से लाऊँ जो करूँ ये वाक़या ब्याँ
तीन दिन की प्यास में वो हौसला था अल-अमाँ 
ज़ुल्म के असीर ने रण में एक सग़ीर ने
मुस्करा के फौज-ए-शाम को रुला रुला दिया
दीन को बचा लिया
फ़ातेमा के चैन ने

लाख जान-ओ-दिल निसार सय्यद-ए-अनाम पर
रो दिया फ़लक भी बेकसी-ए-तश्नाकाम पर
अपने महजबीन को दिलबर-ए-हसीन को
खैंच कर गले से तीर जब गले लगा लिया   
दीन को बचा लिया
फ़ातेमा के चैन ने

------------------------------------------------------------

Fatema ke chain ne, Ali ke noor-e-ain ne
Bakhuda Hussain ne, Deen ko bacha liya

Harf aa raha tha deene Mustafa ke naam par
Mimbar-e-Rasool bik raha tha takhte shaam par
Deen ki asaas ne Dast-e-Haq shanaas ne
Ummate Mohammadi ko khwaab se jaga diya
Deen ko bacha liya
Fatema ke chain ne

Har taraf se band ho chuke thay haq ke raaste
Khoon maangta tha Deen zindagi ke waaste
Deen ke usool ne Nayab-e-Rasool ne
Zindagi ka karz apne khoon se chuka diya
Deen ko bacha liya
Fatema ke chain ne

Haulnakiyo me maut ke hayaat kho gayi
Kufr ki ghata uthi Rah-e-Nijaat kho gayi
Shahe Zuljalal ne Sayyeda ke laal ne
Aise waqt me Shaoor-e-Agahi ataa kiya
Deen ko bacha liya
Fatema ke chain ne

Ameere shaam ban gaya tha saamp aasteen ka
Khusravi ke sar pe rakh raha tha taaj Deen ka
Baadshah-e-Deen ne boriya-nasheen nay
Aarzu-e-khusrawi ko khaak may mila diya
Deen ko bacha liya
Fatema ke chain ne

Phir se shirk ki taraf palat na jaaye aadmi
Raah-e-Mustaqeem se bhatak na jaaye aadmi
Shah-e-Tashnakaam ne waqt ke Imam ne
Haq ki raah par lahoo se ek diya jala diya
Deen ko bacha liya
Fatema ke chain ne

Badhte badhte baat jab Usool-e-Deen pe aa gayi
Aur yazeediyat ki shakl may urooj paa gayi
Badhke phir Diler ne Sher-e-Haq ke Sher ne
Dopahar may takht-o-taaj qasre shaam dha diya
Deen ko bacha liya
Fatema ke chain ne

Halq-e-bezabaan se zulm ki kamaan tod di
Shahrag-e-guloo se khanjaro ki dhaar mod di
Naazish-e-hayaat ne Fakhr-e-Kainat ne
Sar kata ke aadmi ka sar baland kar diya
Deen ko bacha liya
Fatema ke chain ne

Dil kaha se laoo jo karoo ye waqya byaa
Teen din ki pyaas me wo hausla tha al-amaa
Zulm ke aseer ne run me ek Sagheer ne
Muskara ke fauj-e-shaam ko rula rula diya
Deen ko bacha liya
Fatema ke chain ne

Lakh jaan-o-dil nisaar Sayyed-e-Anaam par
Ro diya falak bhi Bekasi-e-Tashnakaam par
Apne mahjabeen ko Dilbar-e-Haseen ko
Khainch kar gale se teer jab gale laga liya   
Deen ko bacha liya
Fatema ke chain ne

No comments:

Post a Comment

Comments are going to be moderated

Aseere fauj-e-sitam qaidi-e-mehan Zainab

असीरे फौज-ए-सितम क़ैदी-ए-मेहन ज़ैनब है जिसका आयत-ए-ततहीर पैरहन ज़ैनब इमामतों की मददगार ख़स्तातन ज़ैनब है शान-ए-दीने ख़ुदा जान-ए-पंजतन ज़ैनब ...