Khyal-e-Khaliq-e-Akbar ka hamkhyal Hussain

 
ख़्याले ख़ालिके अकबर का हमख़्याल हुसैन
जिसे ज़वाल नहीं है वो लाज़वाल हुसैन

बशर के रूप में अल्लाह की मिसाल हुसैन
दिल-ए-रसूल की धड़कन अली का लाल हुसैन
हुसैन जैसे किसी के भी वालेदैन नहीं
बहुत हसीन है युसुफ मगर हुसैन नहीं

समंदरों ने किया जिसकी तशनगी को सलाम
नमाज़ करती रही जिसकी बंदगी को सलाम
किया है मौत ने ख़ुद जिसकी ज़िंदगी को सलाम
ज़माना करता है अब तक उसी जरी को सलाम
हयात मौत के साहिल को बाँट देता है
हुसैन तेग़ को शहरग से काट देता है

ये कायनात रियासत रईस है शब्बीर
दबीर-ए-इश्क़ खुदा का अनीस है शब्बीर
नफ़स नफ़स की सदा है नफ़ीस है शब्बीर
कसम ख़ुदा की क़िस्मत नवीस है शब्बीर
ख़ुदा के लहजे में अक्सर कलाम करता है
हुसैन हुर को अलैहिस्सलाम करता है

दिया बुझा कर जो रौशन करे ज़मीर-ए-बशर
जो कायनात में रखता है हुर शिनास नज़र
जो चश्मे ग़ैब से करदे जहाँ को ज़ेर-ओ-ज़बर
हुसैन ज़ाकिर-ए-माबूद है तहे खंजर
कमाल-ए-अज़्मे-मुहम्मद दिखा दिया जिसने
सग़ीर बेटे को गाज़ी बना दिया जिसने

हुसैन ख़ालिक़-ए-ख़ाक़-ए-शिफ़ा मसीहा भी
हुसैन फ़ैज़ का दरिया भी है और प्यासा भी
हुसैन मज़हर-ए-रब है ख़ुदा का बंदा भी
हुसैन लाखों पे भारी रहा अकेला भी
हुसैन ने अबुतालिब के जानशीं की तरह
उलट के रख दिया मैदान आस्तीं की तरह

अनापरस्त ग़रीबों का चारासाज़ हुसैन
वक़ारे आले-मुहम्मद अली का नाज़ हुसैन
क़सम ख़ुदा की ख़ुदा होने का जवाज़ हुसैन
कहो ये "मीर तकल्लुम" मेरी नमाज़ हुसैन
नबी से पूछ लो क्या मर्तबा हुसैन का है
ये कायनात ख़ुदा की ख़ुदा हुसैन का है

------------------------------------------

Khyal-e-Khaliq-e-Akbar ka humkhyal Hussain
Jise zawaal nahi hai wo lazawaal Hussain

Bashar ke roop me Allah ki misaal Hussain
Dil-e-Rasool ki dhadkan Ali ka laal Hussain
Hussain jaise kisi ke bhi waledain nahi
Bahut haseen hai Yusuf magar Hussain nahi

Samandaro ne kiya jiski tashnagi ko salaam
Namaaz karti rahi jiski bandagi ko salaam
Kiya hai maut ne khud jiski zindagi ko salaam
Zamana karta hai ab tak usi jari ko salaam
Hayaat maut ke sahil ko bant deta hai
Hussain tegh ko shahrug se kaat deta hai

Ye kainaat riyasat rayees hai Shabbeer
Dabeer-e-Ishq Khuda ka Anees hai Shabbeer
Nafas nafas ki sada hai nafees hai Shabbeer
Kasam khuda ki kismat navees hai Shabbeer
Khuda ke lahje me aksar kalaam karta hai
Hussain Hur ko alaihissalam karta hai

Diya bujha kar jo raushan kare zammer-e-bashar
Jo kainaat me rakhta hai Hur shinaas nazar
Jo chashme ghaib se karde jaha ko zer-o-zabar
Hussain zakir-e-mabood hai tahe khanjar
Kamaal-e-azm-e-muhammad dikha diya jisne
Sagheer bete ko ghazi bana diya jisne

Hussain khaliq-e-khaq-e-shifa masiha bhi
Hussain faiz ka dariya bhi hai aur pyasa bhi
Hussain mazhar-e-rab hai khuda ka banda bhi
Hussain lakho pe bhari raha akela bhi
Hussain ne AbuTalib ke janashee ki tarah
Ulat ke rakh diya maidan astee ki tarah

Anaparast ghareebo ka charasaaz Hussain
Waqar-e-Aale-Muhammad Ali ka naaz Hussain
Qasam khuda ki khuda hone ka jawaaz Hussain
Kaho ye "Meer Takallum" meri namaz Hussain
Nabi se pooch lo kya martaba Hussain ka hai
Ye kainaat khuda ki khuda Hussain ka hai

1 comment:

Comments are going to be moderated

Aseere fauj-e-sitam qaidi-e-mehan Zainab

असीरे फौज-ए-सितम क़ैदी-ए-मेहन ज़ैनब है जिसका आयत-ए-ततहीर पैरहन ज़ैनब इमामतों की मददगार ख़स्तातन ज़ैनब है शान-ए-दीने ख़ुदा जान-ए-पंजतन ज़ैनब ...