ऐ बेकफ़न हुसैन ग़रीबुल वतन हुसैन
अब भी फ़लक से आती है आवाज़े फ़ातेमा
उम्मत ने हाए तुझको कफ़न भी नही दिया
ऐ बेकफ़न हुसैन ग़रीबुल वतन हुसैन
आई ना कभी लाल तुझे धूप में लेकर
अब तपती ज़मीन पर है तेरा लाशाए-बेसर
उरया बदन हुसैन ग़रीबुल वतन हुसैन
ऐ बेकफ़न हुसैन ग़रीबुल वतन हुसैन
सोती थी सदा लख़ते जिगर तुझको सुलाकर
चक्की भी जो पीसी है तो गोदी में लिटा कर
ऐ बेकफ़न हुसैन ग़रीबुल वतन हुसैन
उम्मत ने ख़ूब अजरे रिसालत अदा किया
पामाल तेरी लाश को बादे कज़ा किया
ऐ गुलबदन हुसैन ग़रीबुल वतन हुसैन
ऐ बेकफ़न हुसैन ग़रीबुल वतन हुसैन
उफ़ क़ब्र मे भी चैन मिला मुझको ना दिलबर
ताहशर युहीं रोती रहेगी तेरी मादर
वक़्ते मुहन हुसैन ग़रीबुल वतन हुसैन
ऐ बेकफ़न हुसैन ग़रीबुल वतन हुसैन
"मसरूर" काम आएगा गिरया ये क़ब्र में
ऐ काश लब पे हो मेरे नौहा ये हश्र में
तशनादहन हुसैन ग़रीबुल वतन हुसैन
ऐ बेकफ़न हुसैन ग़रीबुल वतन हुसैन
-----------------------------------------------------
Aye bekafan Hussain ghareebul watan Hussain
Ab bhi falak se aati hai awaaze Fatema
Ummat ne haaye tujhko kafan bhi nahi diya
Aye bekafan Hussain ghareebul watan Hussain
Aayi na kabhi laal tujhe dhoop may lekar
Ab tapti zameen par hai tera laashaye besar
Urya badan Hussain ghareebul watan Hussain
Aye bekafan Hussain ghareebul watan Hussain
Soti thi sada lakhte jigar tujhko sulaakar
Chakki bhi jo peesi hai to godi me lita kar
Aye bekafan Hussain ghareebul watan Hussain
Ummat ne khoob ajre Risalat ada kiya
Pamaal teri laash ko baade kaza kiya
Aye gulbadan Hussain ghareebul watan Hussain
Aye bekafan Hussain ghareebul watan Hussain
Uff qabr me bhi chain mila mujhko na dilbar
Ta-hashr yuhin roti rahegi teri maadar
Waqte muhan Hussain ghareebul watan Hussain
Aye bekafan Hussain ghareebul watan Hussain
Masroor kaam aayega girya ye qabr me
Aye kaash lab pe ho mere noha ye hashr me
Tashnadahan Hussain ghareebul watan Hussain
Aye bekafan Hussain ghareebul watan Hussain
No comments:
Post a Comment
Comments are going to be moderated