जंगल पहाड़ करते है नाद-ए-अली अली
मुशकिल को मेरी हल करो मुशकिल कुशा अली
हुसैन हुसैन हुसैन
रुखसत को अहलेबैत-ए-नबी में गये इमाम
क़दमों पे लोटने लगी सैदानियां तमाम
वो शोर अल-फिराक़ का वो यास के कलाम
बच्चे भी सर पटकते थे ले ले के शह का नाम
रोते थे यूँ तो लिपटे हुए सब हुसैन से
लेकिन कलेजे फटते थे ज़ैनब के बैन से
हुसैन हुसैन हुसैन
उस वक़्त था अजब शह-ए-दीन पर हूज़ुमे यास
ढलना वो दोपहर का वो आँधी वो लू वो प्यास
लाशे पड़े हुए थे अज़ीज़ो के आस पास
रोकर फलक को देखते थे शाह-ए-हक़शनास
उठता था दर्दे दिल तो क़दम लड़खड़ाते थे
फ़रमाके या-अली ये वली बैठ जाते थे
हुसैन हुसैन हुसैन
भाई के सर को छाती से लिपटा के ये कहा
बतलाओ क्या इरादा है ऐ मेरे महलक़ा
दस्ते अदब को जोड़के बोला वो बवफ़ा
प्यासी सकीना मरती है या शाहे करबला
गुज़रे है तीन दिन युहीं इस खुश्क खाक़ पर
गर इज़्न हो तो पानी को जाऊं फ़रात पर
हुसैन हुसैन हुसैन
यां चढ़ चुके थे घोड़े पे अब्बास-ए-हक़ शनास
आई सदा भतीजी की सुनते ही दर के पास
बोलीं ये मश्क़ देके सकीना बादर्द-ओ-यास
क़ुरबान अम्मू जान बुझा दो हमारी प्यास
फटता है दिल अतश से कलेजा कबाब है
सक़्क़ाई कीजिए के ये कारे सवाब है
हुसैन हुसैन हुसैन
तो अब्बास ने कहा के मेरा फ़ख़्र है ये काम
बीबी तुम्हारे बाप का अदना है ये ग़ुलाम
दी तुमने आबरू मुझे ए दुख़्तरे इमाम
अब हो गया जहाँ में बहिश्ती हमारा नाम
कौसर मैं समझू दोश पे गर मशक़े आब हो
तुम भी दुआ करो के चचा कामयाब हो
हुसैन हुसैन हुसैन
छाती तक उसने पानी को देखा जो एक बार
घोड़े का दिल हुआ सिफ़त-ए-मौजे बेक़रार
हसरत से मुँह फिरा के नज़र की सुए सवार
बोले ये हाथ जोड़ के अब्बास-ए-नामदार
तू पी ले ऐ फ़रज़ के बहोत तशनाकाम है
हम पर तो बे-हुसैन ये पानी हराम है
हुसैन हुसैन हुसैन
बौछार यकबयक हुई तीरों की हए गज़ब
तेग़े चली अक़ब से शरीरों की हए गज़ब
ये शक्ल दो जहाँ के अमीरों की हए गज़ब
बुझने ना पाई प्यास सग़ीरों की हए गज़ब
नैज़े थे और चाँद से पहलू दिलेर के
तीरों ने छान डाला था सीने को शेर के
हुसैन हुसैन हुसैन
रस्ते में लड़खड़ाते थे जब ज़ोफ से क़दम
अकबर संभाल लेते थे बाबा को दम-बा-दम
फरमाते थे तड़प के पिसर से शहे उमम
जो हाल हो बजा है के भाई का है अलम
बाज़ू पकड़ के दिलबरे ज़हरा को ले चलो
बेटा चचा की लाश पे बाबा को ले चलो
हुसैन हुसैन हुसैन
अकबर से फिर कहा की अलम ख़ाक़ से उठाओ
पुर-खूँ ये मश्क़ ख़ैमे-ए-इस्मत में ले के जाओ
बेवा हुई चची उसे पुरसा दो ख़ाक़ उड़ाओ
बेटा चचा के बच्चों को जाकर गले लगाओ
पूछे जो कोई की सिपते पयम्बर किधर गये
कह दीजियो के भाई के लाशे पे मर गये
हुसैन हुसैन हुसैन
-----------------------------------------------------
Jangal pahaad karte hai Nad-e-Ali Ali
Mushkil ko meri hal karo mushkil kusha Ali
Hussain Hussain Hussain
Rukhsat ko Ahlebait-e-Nabi me gaye Imam
Qadmo pe lotne lagi saydaniya tamaam
Wo shor al-firaaq ka wo yaas ke kalaam
Bachche bhi sar patakte the le le ke Shah ka naam
Rote the yun to lipte hue sab Hussain se
Lekin kaleje phatte the Zainab ke bain se
Hussain Hussain Hussain
Us waqt tha ajab Shah-e-deen par hoojume yaas
Dhalna wo dopahar ka wo aandhi wo loo wo pyaas
Laashe pade hue the azeezo ke aas paas
Rokar falak ko dekhte the Shah-e-haq shanaas
Uttta tha darde dil to qadam larkhadate the
Farmake ya-Ali-e-wAli baith jaate the
Hussain Hussain Hussain
Bhai ke sar ko chati se lipta ke ye kaha
Batlao kya irada hai aye mere mehlaqa
Daste adab ko jodke bola wo bawafa
Pyaasi Sakina marti hai ya Shah-e-Karbala
Guzre hai teen din yuhi is khushk khaq par
Gar izn ho to paani ko jaoon Faraat par
Hussain Hussain Hussain
Ya chad chuke the ghore pe Abbas-e-haq shanaas
Aaye sada bhatiji ki sunte hi dar ke paas
Boli ye mashq deke Sakina ba dard-o-yaas
Qurban ammu jaan bujha do hamari pyaas
Phatta hai dil atash se kaleja kabab hai
Saqqayi kijiye ke ye kaare sawaab hai
Hussain Hussain Hussain
To Abbas ne kaha ke mera faqr hai ye kaam
Bibi tumhare baap ka adna hai ye ghulam
Di tumne aabru mujhe aye dukhtare Imam
Ab hogaya jahan may bahishti hamara naam
Kausar mai samjhu dosh pe gar mashke aab ho
Tum bhi dua karo ke chacha kaamyaab ho
Hussain Hussain Hussain
Chaati tak usne pani ko dekha jo ek baar
Ghode ka dil hua sifat-e-mauje beqaraar
Hasrat se mooh phira ke nazar ki suye sawaar
Bole ye haath jod ke Abbas-e-naamdar
Tu pile aye faraz ke bahot tishna-kaam hai
Hum par to be-Hussain ye paani haraam hai
Hussain Hussain Hussain
Bauchaar yek-bayak hui teero ki haye ghazab
Teghe chAli aqab se shareero ki haye ghazab
Ye shakl do jahan ke ameero ki haye ghazab
Bujhne na paayi pyaas sagheero ki haye ghazab
Naize the aur chand se pehlu deeler ke
Teero ne chaan dala safeene ko Sher ke
Hussain Hussain Hussain
Raste me ladkhadate the jab zof se qadam
Akbar sambhaal lete the baba ko dam-ba-dam
Farmate the tadap ke pisar se Shah-e-umam
Jo haal ho baja hai ke bhai ka hai Alam
Baazu pakad ke dilbare Zahra ko le chalo
Beta chacha ki laash pe baba ko le chalo
Hussain Hussain Hussain
Akbar se phir kaha ki Alam haath se uthao
Pur-khoon ye mashq khaimaye ismat me le ke jaao
Bewa hui chachi use pursa do khak udao
Beta chacha ke bachcho ko jakar gale lagao
Pooche jo koi ki Sipte Payamber kidhar gaye
Kah dijiyo ke bhai ke laashe pe mar gaye
Hussain Hussain Hussain
No comments:
Post a Comment
Comments are going to be moderated