Ameer bhi hai Ghareeb bhi hai Hussain

अमीर हुसैन ग़रीब हुसैन
अमीर भी है ग़रीब भी है ( x2 )

हुसैन महबूबे कीब्रिया है
हुसैन ग़ुरबत की इंतेहा है

अमीर भी है ग़रीब भी है ( x2 )

हुसैन मक़सूदे करबला है
हुसैन मज़लूमे करबला है

अमीर भी है ग़रीब भी है ( x2 )

अमीर ऐसा कफ़न की सौग़ात जिसके रौज़े से बंट रही है ( x2 )
ग़रीब ऐसा के ख़ुद को अब तक कफ़न मयस्सर नहीं हुआ है

अमीर भी है ग़रीब भी है
हुसैन ग़रीब हुसैन

अमीर ऐसा के जिसका झूला नबी झूलाएं अली झूलाएं ( x2 )
ग़रीब ऐसा के जिसके बच्चे का झूला भी बन मे जल गया है

अमीर भी है ग़रीब भी है
हुसैन ग़रीब हुसैन

अमीर ऐसा के रस्मे परदा चली है उसी के दर से ( x2 )
ग़रीब ऐसा के शामो कूफ़ा मे उसकी हमशीर बेरिदा है

अमीर भी है ग़रीब भी है
हुसैन ग़रीब हुसैन

अमीर ऐसा सकीना जैसी खुदा ने बेटी जिसे अता की ( x2 )
ग़रीब ऐसा उसी के मुँह पे कोई तमाचे लगा रहा है

अमीर भी है ग़रीब भी है
हुसैन ग़रीब हुसैन

अमीर ऐसा के जिसके बाबा की मिल्कियत मे है हौज़े क़ौसर ( x2 )
ग़रीब ऐसा के तीन दिन से उसी को पानी नहीं मिला है

अमीर भी है ग़रीब भी है
हुसैन ग़रीब हुसैन

अमीर ऐसा के जिसका बेटा शबीहे सरदारे अंबिया है ( x2 )
ग़रीब ऐसा के वोही सीने मे बरछी खाए तड़प रहा है

अमीर भी है ग़रीब भी है
हुसैन ग़रीब हुसैन

अमीर ऐसा के खुदा का दीन जिसके दम से है आज तक सलामत ( x2 )
ग़रीब ऐसा के रन मे जिसका बदन सलामत नहीं रहा है

अमीर भी है ग़रीब भी है
हुसैन ग़रीब हुसैन

अमीर ऐसा के पत्थरों को बना दे गौहर वोही तकल्लूम ( x2 )
ग़रीब ऐसा के पत्थरों मे उसी का लाशा छुपा हुआ है

अमीर भी है ग़रीब भी है  ( x2 )

हुसैन महबूबे कीब्रिया है
हुसैन ग़ुरबत की इंतेहा है

अमीर भी है ग़रीब भी है ( x2 )

हुसैन मक़सूदे करबला है
हुसैन मज़लूमे करबला है

---------------------------------------------------------

Ameer Hussain, Ghareeb Hussain,
Ameer bhi hai Ghareeb bhi hai x2

Hussain Mahboob-e-Kibriya hai,
Hussain ghurbat ki inteha hai,

Ameer bhi hai Ghareeb bhi hai (x2)

Hussain maqsood-e-Karbala hai,
Hussain mazloom-e-Karbala hai

Ameer bhi hai Ghareeb bhi hai (x2)

Ameer aisa kafan ki saughat jiske rauze se bat rahi hai (x2)
Ghareeb aisa ke khud ko ab tak kafan mayassar nahin hua hai.

Ameer bhi hai Ghareeb bhi hai,
Hussain Ghareeb, Hussain,

Ameer aisa ke jiska jhoola Nabi jhoolaein Ali jhoolaein (x2)
Ghareeb aisa kay jiske bachche ka jhoola bhi ban me jal gaya hai.

Amir bhi hai Ghareeb bhi hai,
Hussain Ghareeb, Hussain,

Ameer aisa kay rasme parda chali hai usi ke dar se, (x2)
Ghareeb aisa kay Shaam-o-Koofa me uski hamsheer berida hai.

Ameer bhi hai, Ghareeb bhi hai,
Hussain Ghareeb, Hussain,

Ameer aisa Sakina jaisi Khuda ne beti jise ataa ki, (x2)
Gharib aisa usi ke munh pe koi tamache laga raha hai.

Ameer bhi hai Ghareeb bhi hai,
Hussain Ghareeb, Hussain,

Ameer aisa ke jiske baba ki milkiyat me hai Hauz-e-Qausar, (x2)
Ghareeb aisa ke teen din se, usi ko paani nahin mila hai.

Ameer bhi hai, Ghareeb bhi hai,
Hussain Ghareeb, Hussain,

Ameer aisa ke jiska beta Shabihe Sardar-e-Ambiya hai, (x2)
Ghareeb aisa ke wohi seene me barchee khaye tadap raha hai.

Ameer bhi hai Ghareeb bhi hai,
Hussain Ghareeb, Hussain,

Ameer aisa ke Khuda ka deen jiske dum se hai aaj tak salamat, (x2)
Ghareeb aisa ke ran me jiska badan salamat nahin raha hai.

Ameer bhi hai Ghareeb bhi hai,
Hussain Ghareeb, Hussain,

Ameer aisa ke pattharon ko banaa de gauhar wohi Takallum, (x2)
Ghareeb aisa ke pattharon me, usi ka laasha chupa huwa hai.

Ameer bhi hai Ghareeb bhi hai x2

Hussain Mahboob-e-Kibriya hai,
Hussain ghurbat ki inteha hai,

Ameer bhi hai Ghareeb bhi hai (x2)

Hussain maqsood-e-Karbala hai,
Hussain mazloom-e-Karbala hai

No comments:

Post a Comment

Comments are going to be moderated

Aseere fauj-e-sitam qaidi-e-mehan Zainab

असीरे फौज-ए-सितम क़ैदी-ए-मेहन ज़ैनब है जिसका आयत-ए-ततहीर पैरहन ज़ैनब इमामतों की मददगार ख़स्तातन ज़ैनब है शान-ए-दीने ख़ुदा जान-ए-पंजतन ज़ैनब ...