Ek Sar Kya Tha Shaheed-e-Karbala Kay Samne

एक सर क्या था शहीदे करबला के सामने 
रख दिए शह ने बहत्तर सर ख़ुदा के सामने

एक सर क्या था शहीदे करबला के सामने 

झिलमिलाते ही रहेंगे हश्र तक अश्क़े अज़ा
ये दिए हमनें जलायें हैं हवा के सामने

एक सर क्या था शहीदे करबला के सामने 

अपना सर साहिल से टकराने लगी मौजे फ़ुरात
जब सकीना मश्क़ लाएँगी चचा के सामने

एक सर क्या था शहीदे करबला के सामने 

देखिए क्या हो बवक़्ते इज़्न माँ के दिल का हाल
लाएँगे क़ासिम को जब दूल्हा बना के सामने

एक सर क्या था शहीदे करबला के सामने 

तीर जब असग़र ने खाया रो रहे थे अशकिया
और असग़र हँस रहें थे अशकिया के सामने

एक सर क्या था शहीदे करबला के सामने 

ले गया सर काट कर शब्बीर का शिमरे लईं
ज़ैनबे ख़स्ता-जिगर की इल्तेजा के सामने

एक सर क्या था शहीदे करबला के सामने 

सानी-ए-ज़हरा के सर से उस रिदा को ले गये
दोनों आलम सर-निगूँ थे जिस रिदा के सामने

एक सर क्या था शहीदे करबला के सामने 

झिलमिलाते ही रहेंगे हशर तक अश्क़े अज़ा
ये दिए हमनें जलायें हैं हवा के सामने

एक सर क्या था शहीदे करबला के सामने 

देखिए क्या हो बवक़्ते इज़्न माँ के दिल का हाल
लाएँगे क़ासिम को जब दूल्हा बना के सामने

एक सर क्या था शहीदे करबला के सामने 

तीर जब असग़र ने खाया रो रहे थे अश्किया
और असग़र हँस रहें थे अश्किया के सामने

एक सर क्या था शहीदे करबला के सामने 

मैनें पाई सर बलंदी मैनें पाया है उरूज
सर झुका जाता है मेरा करबला के सामने

एक सर क्या था शहीदे करबला के सामने 

------------------------------------------

Ek sar kya tha shaheede Karbala ke saamne 
Rakh diye Shah ne bahattar sar khuda ke saamne

Ek sar kya tha shaheede Karbala ke saamne 

Jhilmilate hi rahenge hashr tak ashke azaa
Ye diye humne jalaye hai hawa ke saamne

Ek sar kya tha shaheede Karbala ke saamne 

Apna sar sahil se takrane lagi mauje Furaat
Jab Sakina mashq layengi chacha ke saamne

Ek sar kya tha shaheede Karbala ke saamne 

Dekhiye kya ho bawaqte izn maa ke Dil ka haal
Layenge jab Qasim Ko dulha bana ke saame

Ek sar kya tha shaheede Karbala ke saamne 

Teer jab Asghar ne khaya ro rahe the ashqiya
Aur Asghar Hans rahe the ashqiya ke saamne

Ek sar kya tha shaheede Karbala ke saamne 

Le gaya sar kaat kar Shabbir ka shimre layeen
Zainab-e-khastajigar ke ilteja ke saamne

Ek sar kya tha shaheede Karbala ke saamne 

Saaniye Zehra ke sar se us ridaa ko le gaye
Dono aalam sar-niguu.n the jis ridaa ke saamne

Ek sar kya tha shaheede Karbala ke saamne 

Jhilmilate hi rahenge hashr tak ashke azaa
Ye diye humne jalaye hai hawa ke saamne

Ek sar kya tha shaheede Karbala ke saamne 

Dekhiye kya ho bawaqte izn maa ke Dil ka haal
Layenge jab Qasim Ko dulha bana ke saame

Ek sar kya tha shaheede Karbala ke saamne 

Teer jab Asghar ne khaya ro rahe the ashqiya
Aur Asghar Hans rahe the ashqiya ke saamne

Ek sar kya tha shaheede Karbala ke saamne 

Maine paayee sar balandee maine paaya hai urooj
Sar jhuka rahta hai mera Karbala ke saamne

Ek sar kya tha shaheede Karbala ke saamne 

No comments:

Post a Comment

Comments are going to be moderated

Aseere fauj-e-sitam qaidi-e-mehan Zainab

असीरे फौज-ए-सितम क़ैदी-ए-मेहन ज़ैनब है जिसका आयत-ए-ततहीर पैरहन ज़ैनब इमामतों की मददगार ख़स्तातन ज़ैनब है शान-ए-दीने ख़ुदा जान-ए-पंजतन ज़ैनब ...