हाथ में शब्बीर के इस्लाम की तक़दीर है
बिना-ए-दीने हक़ अली का लाल है
हुसैन की अता तो बेमिसाल है
ज़िंदा है ईमाँ शह के करम से
बाक़ी है क़ुरान शह के करम से
है दीने यज़दाँ शह के करम से
हुई जो दीन को हासिल बक़ा हुसैन से है
ख़ुदा का दीन भी हाजत-रवा हुसैन से है
ना होते सिप्ते पयम्बर तो कुछ नहीं होता
नबी की होती शरीयत ना बाक़ी दीन होता
अये मेरे मलिक तेरी मौजूदगी के बावजूद
हाथ में शब्बीर के इस्लाम की तक़दीर है
नमाज़ को मिली हयाते जावेदाँ
सुनाई देती है जो हर तरफ अज़ाँ
ज़िंदा है सजदा शह के करम से
बाक़ी है काबा शह के करम से
है ज़िक़्र रब का शह के करम से
फ़ज़ा में बिखरी अज़ाँ की सदा हुसैन से है
ख़ुदा का दीन भी हाजत-रवा हुसैन से है
नमाज़ियों से छलकती हैं मस्जिदें सारी
तवाफ़े खाना-ए-काबा है आज तक जारी
अये मेरे मलिक तेरी मौजूदगी के बावजूद
हाथ में शब्बीर के इस्लाम की तक़दीर है
ज़बाँ ज़बाँ पे है जो ज़िक्रे किरदेगार
तिलावतों से हर सहर है नूरबार
दिलकश है मंज़र शह के करम से
अहकामे दावर शह के करम से
जारी है घर घर शह के करम से
इबादतों का रवाँ सिलसिला हुसैन से है
ख़ुदा का दीन भी हाजत-रवा हुसैन से है
नबी के दीन के अरकाम हैं जो ताबिंदा
हुसैन की ही बदौलत हैं आज तक ज़िंदा
अये मेरे मलिक तेरी मौजूदगी के बावजूद
हाथ में शब्बीर के इस्लाम की तक़दीर है
जो फैली हर तरफ है दीन की रौशनी
बुझा सकेगा क्या ये शम्मे हक़ कोई
रौशन जहाँ है शह के करम से
इज़्ज़ो-फेशा है शह के करम से
नूरी समाँ है शह के करम से
है आँधियों में जो रौशन दिया हुसैन से है
ख़ुदा का दीन भी हाजत-रवा हुसैन से है
बुलंद हौसला रखते हैं नासिराने हुसैन
सब एक मिज़ाज हैं मक़तल में पासबाने हुसैन
अये मेरे मलिक तेरी मौजूदगी के बावजूद
हाथ में शब्बीर के इस्लाम की तक़दीर है
ज़ोहैर-ए-क़ैन हों की हुर-ए-ख़ुशनसीब
सईद-ओ-जौन हों कीआबिस-ओ-हबीब
सब हैं बाअज़मत शह के करम से
हैं अज़मे नुसरत शह के करम से
बहरे शहादत शह के करम से
हर एक इज़्ने वगा चाहता हुसैन से है
ख़ुदा का दीन भी हाजत रवा हुसैन से है
ये क़ौले मुरसले आज़म है इसको याद रखो
हुसैन-ए-मिन्नी व अना मिनल हुसैन पढ़ो
अये मेरे मलिक तेरी मौजूदगी के बावजूद
हाथ में शब्बीर के इस्लाम की तक़दीर है
ज़रा भी शक़ नहीं इसमें बाखुदा
बता रही है ये हदीसे मुस्तफ़ा
सुन ले ज़माना शह के करम से
महबूबे रब का शह के करम से
है क़ौल ज़िंदा शह के करम से
की बादे करबला मुस्तफ़ा हुसैन से है
ख़ुदा का दीन भी हाजत-रवा हुसैन से है
फसाना फितरुस-ए-बेपर का सुन ले अये दुनिया
तलब हुसैन से करता है बालो-पर अपना
अये मेरे मलिक तेरी मौजूदगी के बावजूद
हाथ में शब्बीर के इस्लाम की तक़दीर है
ज़माना देख ले ये शह का मर्तबा
दरे हुसैन का मलक भी है गदा
गर्दूं से आकर शह के करम से
फितरुस-ए-बेपर शह के करम से
मौला के दर पर शह के करम से
ख़ुदा के होते हुए माँगता हुसैन से है
ख़ुदा का दीन भी हाजत-रवा हुसैन से है
वो जिसने माँगा उसे शाहे करबला ने दिया
ना कोई खाली दरे सिप्ते मुस्तफ़ा से गया
अये मेरे मलिक तेरी मौजूदगी के बावजूद
हाथ में शब्बीर के इस्लाम की तक़दीर है
है बहरे बे-कराँ अली का लाड़ला
जहाँ में आम है हुसैन की अता
अये अहले दुनिया शह के करम से
दिलबंदे ज़हरा शह के करम से
सब कुछ मिलेगा शह के करम से
लगाए सारा जहाँ आसरा हुसैन से है
ख़ुदा का दीन भी हाजत रवाँ हुसैन से है
------------------------------------------------------------------
Haath me Shabbir ke Islam ki taqdeer hai
Binaye deene haq Ali ka laal hai
Hussain ki ataa to bemisaal hai
Zinda hai Imaan Shah ke karam se
Baqi hai Quran Shah ke karam se
Hai deene Yazdan Shah ke karam se
Hui jo deen ko haasil baqaa Hussain se hai
Khuda ka deen bhi haajat rawa Hussain se hai
Na hote Sipte Payamber to kuch nahi hota
Nabi ki hoti shariyat na baaqi deen hota
Aye mere malik teri maujoodgi ke bawajood
Haath me Shabbir ke Islam ki taqdeer hai
Namaz ko mili hayaate jaawedan
Sunayi deti hai jo har taraf azaan
Zinda hai sajda Shah ke karam se
Baaqi hai Kaaba Shah ke karam se
Hai zikre rabta Shah ke karam se
Faza me bikhri azaa Hussain se hai
Khuda ka deen bhi haajat rawa Hussain se hai
Namaziyo se chalakti hai masjide saari
Tawafe Khanaye Kaaba hai aaj tak jaari
Aye mere malik teri maujoodgi ke bawajood
Haath me Shabbir ke Islam ki taqdeer hai
Rawa zaban pe hai jo zikre kirdegaar
Tilawaton se har sahr hai noorbaar
Dilkash hai manzar Shah ke karam se
Ahkame daawar Shah ke karam se
Jaari hai ghar ghar Shah ke karam se
Ibadato ka rawaa silsila Hussain se hai
Khuda ka deen bhi haajat rawa Hussain se hai
Nabi ke deen ke arkaam hai jo taabindaa
Hussain ki hi badault hai aaj tak zinda
Aye mere malik teri maujoodgi ke bawajood
Haath me Shabbir ke Islam ki taqdeer hai
Jo failee har taraf hai deen ki raushni
Bhuja sakega kya ye shamme Haq koi
Raushan jahan hai Shah ke karam se
Izzo-phesha hai Shah ke karam se
Noori samaa hai Shah ke karam se
Hai aandhiyo me jo raushan diya Hussain se hai
Khuda ka deen bhi haajat rawa Hussain se hai
Baland hausla rakhte hai naseeran-e-Hussain
Sab ek mizaaj maqtal me paasban-e-Hussain
Aye mere malik teri maujoodgi ke bawajood
Haath me Shabbir ke Islam ki taqdeer hai
Zohair Qain ho ki Hurr-e-Khusnaseeb
Sayeed-o-Jaun ho ki Abis-o-Habeeb
Sab hai ba-azmat Shah ke karam se
Hai azme nusrat Shah ke karam se
Bahre shahadat Shah ke karam se
Har ek ighne wagha chahta Hussain se hai
Khuda ka deen bhi haajat rawa Hussain se hai
Ye qaule Mursale Aazam hai isko yaad rakho
Hussain-e-minni ana minal Hussain padho
Aye mere malik teri maujoodgi ke bawajood
Haath me Shabbir ke Islam ki taqdeer hai
Zara bhi shaq nahi isme bakhuda
Bata rahi hai ye hadeese Mustafa
Sun le zamana Shah ke karam se
Mahboobe rab ka Shah ke karam se
Hai qaul zindan Shah ke karam se
Ki baade Karbala Mustafa Hussain se hai
Khuda ka deen bhi haajat rawa Hussain se hai
Fasana Fitrus-e-bepar ka sun le aye duniya
Talab Hussain se karta hai baalo par apna
Aye mere malik teri maujoodgi ke bawajood
Haath me Shabbir ke Islam ki taqdeer hai
Zamana dekh le ye Shah ka martaba
Dare Hussain ka malak bhi hai gada
Gardoo se aaker Shah ke karam se
Fitrus-e-bepar Shah ke karam se
Maula ke dar per Shah ke karam se
Khuda ke hote hue maangta Hussain se hai
Khuda ka deen bhi haajat rawa Hussain se hai
Wo jisne manga use Shaahe Karbala ne diya
Na koi khaali dare Sipte Mustafa se gaya
Aye mere malik teri maujoodgi ke bawajood
Haath me Shabbir ke Islam ki taqdeer hai
Hai bahre ataa Ali ka laadla
Jaha me aam hai Hussain ki ataa
Aye ahle duniya Shah ke karam se
Dilbande Zahra Shah ke karam se
Sab kuch milega Shah ke karam se
Lagaye saara jahaa aasra Hussain se hai
Khuda ka deen bhi haajat rawa Hussain se hai
No comments:
Post a Comment
Comments are going to be moderated