As-salam Aye Zair E Hussain As-salam

Abad wallah ya Zehra manind sa Hussaina
As salaam aye Zair-e-Hussain assalam

Labbaik ya Hussain

Aye Zair-e-Hussain assalam

Allah ki bahisht ke haqdar assalam
Aye Turbate Hussain ke zawwar assalam

Aye Zair-e-Hussain assalam.

Tujhpar salaam shaam-o-sahar Zair-e-Hussain 
Zair hai tere shams-o-qamar Zair-e-Hussain 
Khud keh rahe hai ahle khabar Zair-e-Hussain 
Tu tha gunahgar magar Zair-e-Hussain 
Tera thikana barsare aflak ho gaya
Zam zam sadaye deta hai tu paak ho gaya

Aye Zair-e-Hussain assalam.

Haj ka sawab lekar utha tera har qadam
Rakha qadam zameen pe to umrah hua raqam
Aawaz aa rahi hai yeh nabion ki dam-ba-dam
Tu Zair-e-Hussain  tere zaireen hai hum
Deedar kar ke Rauza-e-Sarwar ka farsh par
Tu ne Khuda ko dekh liya jaake arsh par

Aye Zair-e-Hussain assalam.

Khola hai Rab ne babe fazilat tere liye
Kudsi bhi kar rahe hai ibadat tere liye
Kausar hai tere waaste jannat tere liye
Arfe ke roz hai yeh saadat tere liye
Mumtaz kar diya tere masjood ne tujhe
Haji se pehle dekha hai mabood ne tujhe

Aye Zair-e-Hussain assalam.

Tujhko dua e Binte Payamber naaseeb hai
Kismat ko naaz hai woh muqaddar naseeb hai
Tera malaika se bhi badh kar naseeb hai
Kya martaba tujhe share mahshar naseeb hai
Jub Naseeran-e-Shah ko khaliq bulayega
Maheshar me tu bhi sath bahattar ke jayega

Aye Zair-e-Hussain assalam.

Haj ke bagair haj ka fariza ada kiya
Mausam ki koi fikr na khaufe kaza kiya
Chalo se apne marhame zakhme ana kiya
Tune barahna pa Safar-e-Karbala kiya
Qatre tere pasine ke kya kaam aaye hai
Allah ne unhi se farishte banaye hai

Aye Zair-e-Hussain assalam.

Kis tarha se bayaan ho manzar woh ishq ke
Paidal jo Karbala ko nikalte hai qafile
Koi Najaf se aur koi Basra ki rah se
Hathon me ya Hussain  ke parcham liye hue
Zair jo Karbala ki taraf daude jaate hai
Abbas chal ke khud unhe lene ko aate hai

Aye Zair-e-Hussain assalam.

Hoti hai ek qatar-e-mawkib wahan saji
Khidmat me zaieereen ki rehta hai har koi
Pani liye koi to koi ban ke malishi
Un khadimon ke ishk pe kehta hai dil yahi
Karte hai saaf aa ke pasina jabeen se
Mil ne Hussain aate hai jub khadmeen se

Aye Zair-e-Hussain assalam.

Dulhan ki tarha raah sajate hai aashikeen
Khaime mohabbaton ke lagaate hai aashikeen
Jo saal bhar me rizk kamaate hai aashikeen
Daulat woh zairon pe lutate hai aashikeen
Kehte hai phir bhi qalb hamare na bhar sake
Hum Zair-e-Hussain ki khidmat na kar sake

Aye Zair-e-Hussain assalam.

Jo raste me Karbobala ke guzaar gaye
Kaise kahu ke "Mir Takallum" woh mar gaye
Pardes me the laut ke woh apne ghar gaye
Aa aye ajal bataoon woh zair kidhar gaye
Dare fana se mulke baqa legaye Hussain 
Khud aake unko Karbobala le gaye Hussain

Aye Zair-e-Hussain assalam

Abad wallah ya Zehra manind sa Hussaina
As salaam aye Zair-e-Hussain assalam
As Salam

No comments:

Post a Comment

Comments are going to be moderated

Aseere fauj-e-sitam qaidi-e-mehan Zainab

असीरे फौज-ए-सितम क़ैदी-ए-मेहन ज़ैनब है जिसका आयत-ए-ततहीर पैरहन ज़ैनब इमामतों की मददगार ख़स्तातन ज़ैनब है शान-ए-दीने ख़ुदा जान-ए-पंजतन ज़ैनब ...