असबाब लुट चुका है ख़ैमें भी जल चुके है
ज़ुल्मों सितम के सूरज आहों में ढल चुके हैं
एक लाशा-ए-बेसर है और ज़ैनब
कुफ़्फ़ार का लश्कर है और ज़ैनब
आशूर का मंज़र है और ज़ैनब
भाई की लाश रन में उरियाँ पड़ी हुई है
हमशीर सरबरहना बेआसरा खड़ी है
अब सोग की चादर है और ज़ैनब
कुफ़्फ़ार का लश्कर है और ज़ैनब
आशूर का मंज़र है और ज़ैनब
नाना की क़ब्र छूटी, हाय वतन भी छूटा
वो घर जो फ़ातमा का कल तक बसा हुआ था
उजड़ा हुआ वो घर है और ज़ैनब
कुफ़्फ़ार का लश्कर है और ज़ैनब
आशूर का मंज़र है और ज़ैनब
क़ासिम की लाश देखी, अकबर की लाश देखी
हाय अब्बासे बावफ़ा की, असग़र की लाश देखी
अब लाशे बरादार है और ज़ैनब
कुफ़्फ़ार का लश्कर है और ज़ैनब
आशूर का मंज़र है और ज़ैनब
शोले भड़क रहे हैं गुलज़ारे पंजतन में
अहले हरम के बाज़ू हैं एक रसन में
इस्लाम का लश्कर है और ज़ैनब
कुफ़्फ़ार का लश्कर है और ज़ैनब
आशूर का मंज़र है और ज़ैनब
कूफ़े की शाहज़ादी सर पर रिदा नहीं है
और ये हाल है की कोई पहचानता नहीं है
दरबारे सितमगर है और ज़ैनब
कुफ़्फ़ार का लश्कर है और ज़ैनब
आशूर का मंज़र है और ज़ैनब
"महशर" ख़ुलूसे दिल से कर ज़िक्र पंजतन का
लिख अपने आँसूओं से नौहा शहे ज़मन का
फिर तेरा मुक़द्दर है और ज़ैनब
कुफ़्फ़ार का लश्कर है और ज़ैनब
आशूर का मंज़र है और ज़ैनब
-----------------------------------------------------
Asbaab lut chuka hai kahime bhi jal chuke hai
Zulmo sitam ke suraj aaho me dhal chuke hain
Ek lashaye besar hai aur Zainab
Kuffar ka lashkar hai aur Zainab
Aashoor ka manzar hai aur Zainab
Bhai ki laash run me uriya padi hui hai
Humsheer ser barahna be-aasra khadi hai
Ab sog ki chadar hai aur Zainab
Kuffar ka lashkar hai aur Zainab
Aashoor ka manzar hai aur Zainab
Nana ki qabr chuthi haye watan bhi chutta
Wo ghar jo Fatima ka ghar kal tak basa hua tha
Ujda hua wo ghar hai aur Zainab
Kuffar ka lashkar hai aur Zainab
Aashoor ka manzar hai aur Zainab
Qasim ki laash dekhi Akber ki laash dekhi
Abbas-e-bawafa ki Asghar ki laaash dekhi
Ab laashe biradar hai aur Zainab
Kuffar ka lashkar hai aur Zainab
Aashoor ka manzar hai aur Zainab
Shole bhadak rahe hai gulzare Panjatan me
Ahle haram ke bazoo bandhe hai ek rasan me
Islam ka lashkar hai aur Zainab
Kuffar ka lashkar hai aur Zainab
Aashoor ka manzar hai aur Zainab
Koofe ki shaahzadi ser per rida nahi hai
Aur ye haal hai ki koi pahchanta nahi hai
Darbar-e-sitamgar hai aur Zainab
Kuffar ka lashkar hai aur Zainab
Aashoor ka manzar hai aur Zainab
Mahshar khuloos-e-dil kar zikr Panjatan ka
Likh apne aasooyo se Nauha Shahe Zaman ka
Phir tera muqaddar hai aur Zainab
Kuffar ka lashkar hai aur Zainab
Aashoor ka manzar hai aur Zainab
No comments:
Post a Comment
Comments are going to be moderated