Muh se ek baar laga lete jo Maula paani


Muh se ek baar laga lete jo Maula paani X 3
Dashte ghurbat me na thokare khata paani
Muh se ek baar

Kaun kehta hai ke paani ko taraste the Hussain X 2
Inke hothon ko tarasta raha pyaasa X 2
Muh se ek baar laga lete jo Maula paani 

Choo na paya jo labe Asghare masoom to phir X 2
Sharm se doob gaya nahar me pyasa paani X 2
Muh se ek baar laga lete jo Maula paani 

Wo to kahiye ke ise Shah ne ijazat hi na di  X 2
Warna lashkar ko doobo deta akela paani X 2
Muh se ek baar laga lete jo Maula paani

Mashk aur Hazrate Abbas ko dekhe to koi X 2
Nahar qadmo me thi aur muh se na lagaya paani X 2
Muh se ek baar laga lete jo Maula paani 

Aa gaya Ghaazi ke chullu me wo manzar yaqzam X 2
Warna kise pyaas apni dikhata paani X 2
Muh se ek baar laga lete jo Maula paani 

Jispe saqqaye Sakina ka karam hota hai X 2
Wo pilata hai azadaro ko thanda paani X 2
Muh se ek baar laga lete jo Maula paani

Laazmi thi rukhe Sarwar ki ziyarat warna X 2
Wo nadamat thi ke sahil pe hi na aata paani X 2
Muh se ek baar laga lete jo Maula paani 

Apne waade ko wafaa karna tha maqsad warna X 2
Shah jaha kahte waha ghaib se aata paani X 2
Muh se ek baar laga lete jo Maula paani  

Baddua qalbe Sakina se nikal sakti thi X 2
Khushk hota tha dariyao ka saara paani X 2
Muh se ek baar laga lete jo Maula paani 

Aur garche bedard ne pyaaso pe chalaya khanjar X 2
Sabiro ki ankhon me na aaya paani X 2
Muh se ek baar laga lete jo Maula paani 

Dashte ghurbat me na thokare khata paani

No comments:

Post a Comment

Comments are going to be moderated

Aseere fauj-e-sitam qaidi-e-mehan Zainab

असीरे फौज-ए-सितम क़ैदी-ए-मेहन ज़ैनब है जिसका आयत-ए-ततहीर पैरहन ज़ैनब इमामतों की मददगार ख़स्तातन ज़ैनब है शान-ए-दीने ख़ुदा जान-ए-पंजतन ज़ैनब ...