Beti Ali ki Turbat-e-Zehra pe aayee hai
Kurta Lahoo bhara hua bhai ka layee hai
Kehti e Hussain ki Amma utho utho
Zainab se Karbala ka zara majra suno
kehti e Hussain ki Amma utho utho
Amma humara ranjho masahib hai dardnaak
Amma humare khalbo jigar ho chuke hai chaak
Amma humare nana ki ummat ne ki daga
Amma humare khoon ko samjhe sab rawa
kehti e Hussain ki Amma utho utho
Zainab se Karbala ka zara majra suno
Amma taras ke reh gaye paani ko hum tamam
Amma diya na humko kisi ne bhi ek jaam
Amma humare Mard tahe teg hogaye
Amma nahake khoon main bechare so gaye
kehti e Hussain ki Amma utho utho
Zainab se Karbala ka zara Majra suno
Amma Pade hai nahar par Abbas Ruth kar
Amma Sakina soti hai zinda main be pidar
Amma kaha se Akbar-e-Mehroo ko lau main
Amma kaha se Asgar-e-Nadan ko pau main
kehti e Hussain ki Amma utho utho
Zainab se Karbala ka zara Majra suno
Amma wo mere Aun o Mohammed mere pisar
Maidaan-e-Karbala main pade hai kata ke sar
Amma lahoo main doob k Kasim bhi chal base
Amma Hasan ko muh na dikhane ke hum rahe
kehti e Hussain ki Amma utho utho
Zainab se Karbala ka zara Majra suno
Amma Hussain Karbobalahee main rahe gaye
Amma Hussain saare Masahib ko seh gaye
Amma Hussain mar gaye be yaaro be watan
Amma hussain ko na mayaser hua kafan
kehti e Hussain ki Amma utho utho
Zainab se Karbala ka zara Majra suno
Amma humari chaadare bhi chin gayee tamam
Amma humare haal par haste the ahle shaam
Amma wo shaam-e- Gurbate Shabbir ahha
Amma wo raat kaali wo sunsaan katl gaa
kehti e Hussain ki Amma utho utho
Zainab se Karbala ka zara Majra suno
Amma ye haal -e-Abid-e-Bimaar hogaya
Zalim sipahi ne le liya bistar garib ka
Amma kadam kadam pe aseeri rula gayee
Gardan main tauq paav main zanjeer aa gayee
kehti e Hussain ki Amma utho utho
Zainab se Karbala ka zara Majra suno
Amma wo bibiyon ka tadapna wo shor-o-shay
Amma rahegi yaad wo aabon bukh wo bey
Amma Rabab roti hai Asgar ko subho shaam
Akbar ko yaad karti hai Laila-e-tashnkaam
kehti e Hussain kiAmma utho utho
Zainhab se Karbala ka zara majra suno
Baazu ke neel dekhiyeAmma Khuda gawa
Maqtal ki gard bangayee ab shaa Khuda gawa
Amma ye bebasi ye qayamat ki bebasi
Amma Humare haal par roti hai Amma bekasi
Kehti e Hussain ki Amma utho utho
Zainab se Karbala ka zara majra suno
Amma batayiye tho main ab jee k kya karu
Kis tarah ab Hussain ki furkat ka gam sahu
Aayi Fughan nida ki sare hashr hum bhi ab
Kurta lahoo bhara hua rakh denge peshe rab
Beti tumhara bhai Shahe Mashreqain hain
Beti tumhare sabr main fathe Hussain hai
Kehti e Hussain ki Amma utho utho
Zaihab se Karbala ka zara Majra suno
No comments:
Post a Comment
Comments are going to be moderated