Aasma(n) se de raha hai ek munaadi ye sadaa
Ya Aliyo Ya Aliyo Ya Aliyo Murtaza
Baad-e-Payember wo zulm hua
Aale Nabi ka koi na raha
Rassi se Haider ka bandha gala
Pahlu-e-Zahra bhi toda gaya
Roti thi binte Nabi Yaani humraaze Ali
Haye ye zamaanaa humse kitni jaldi phir gaya
Ya Aliyo Ya Aliyo Ya Aliyo Murtaza
Aasma(n) se de raha hai ek munaadi ye sadaa
Ya Aliyo Ya Aliyo Ya Aliyo Murtaza
Baandh ke Haider ko rassiyo se
galiyo me zaalim sab le ke gaye
Nalao shevan Zahra ne kiye
baazoo pe shamsheer ke kunde pade
Fatima par ye jafaa wo bhi peshe Murtaza
Ek shikista pahlu bibi par sitam ki inteha
Ya Aliyo Ya Aliyo Ya Aliyo Murtaza
Aasma(n) se de raha hai ek munaadi ye sadaa
Ya Aliyo Ya Aliyo Ya Aliyo Murtaza
Dil me liye gham Zahra mar gayee
Khana-e-Haider soona kar gayee
Fatima peshe Paighmber gayee
Pahlu shikasta hi lekar gayee
Ho gaye tanha Ali dekh lije Ya Nabi
Darde dil bayan kareaga kisse Shah-e-lafatah
Ya Aliyo Ya Aliyo Ya Aliyo Murtaza
Aasma(n) se de raha hai ek munaadi ye sadaa
Ya Aliyo Ya Aliyo Ya Aliyo Murtaza
Silsila-e-zulm phir bhi na ruka
Qatl Ali ko masjid me kiya
Khoo(n) se musalla rangeen hua
Ghar me Khuda ke hai hashr bapaa
Chal gayi tegh-e-jafaa zakhmi hai sher-e-khuda
Kaun rotiya yateem bachcho ko khilayega
Ya Aliyo Ya Aliyo Ya Aliyo Murtaza
Aasma(n) se de raha hai ek munaadi ye sadaa
Ya Aliyo Ya Aliyo Ya Aliyo Murtaza
Zahr dawa me Shabbar ko diya
Jiske asar se jigar tukde hua
Daaghe yateemi Qasim ko mila
Teero se laaashe ko zakhmi kiya
Hasan-e-sabz qaba bhi na duniya me raha
Juz Hussain Panjatan me ab koi nahi bacha
Ya Aliyo Ya Aliyo Ya Aliyo Murtaza
Aasma(n) se de raha hai ek munaadi ye sadaa
Ya Aliyo Ya Aliyo Ya Aliyo Murtaza
Dard e sitamgar kuch aage badha
Saamne aayi ye Karbobala
shimr ka khanjar bekas pe chala
Baheno ke aage sar Shah ka kataa
Kahti thi Fatima raham kar bahre Khuda
Kar diya sitamgaro ne Panjatan ka khatma
Ya Aliyo Ya Aliyo Ya Aliyo Murtaza
Aasma(n) se de raha hai ek munaadi ye sadaa
Ya Aliyo Ya Aliyo Ya Aliyo Murtaza
Nauha wo 'Naushad' tumne hai likha
Fatima Zahra deti hai dua
Fakhr-e-Nabi hai Shah-e-Lafatah
Zer-e-kafan wo karte hai buqaa
Dekho aye Ahl-e-aza Fatima dengi jazaa
Ye wo gham hai jo Ahl-e-aasmaan me hai bapa
Ya Aliyo Ya Aliyo Ya Aliyo Murtaza
Aasma(n) se de raha hai ek munaadi ye sadaa
Ya Aliyo Ya Aliyo Ya Aliyo Murtaza
😭😭😭
ReplyDelete