Shaam ka Baazaar hai aur Zainab-e-dilgeer hain


शाम का बाज़ार है और ज़ैनबे दिलगीर है x 5

बीमार का ग़मख़ार का बेकस का है ये आलम
एक तौक़ है गर्दन में और पाँव में ज़ंजीर है

शाम का बाज़ार है और ज़ैनबे दिलगीर है x 2

मारा है किसे तुमने और क़ैद किया किसको x 2
होठों पे मुसलमानों क्यों नारा-ए-तक़बीर है

शाम का बाज़ार है और ज़ैनबे दिलगीर है x 2

 पामाल तुझे ज़िंदा आदा ने किया क़ासिम x 2
फरवा की ज़ुबाँ है और ये दर्द की तक़रीर है

शाम का बाज़ार है और ज़ैनब-ए-दिलगीर है x 2

नैज़े पे नहीं रुकता हर बार सरे ग़ाज़ी x 2
बलवे में खुले सर जो शब्बीर की हमशीर है

शाम का बाज़ार है और ज़ैनब-ए-दिलगीर है x 2 

है तश्त में शह का सर बेपर्दा खड़ी ख्व़ाहार
एक सब्र का क़ुराँ है एक दर्द की तफ़सीर है 

शाम का बाज़ार है और ज़ैनब-ए-दिलगीर है x 2

ऐ शामियों मत छीनो इसको सरे ज़ैनब से 
ज़हरा की रिदा है ये चादरे ततहीर है

शाम का बाज़ार है और ज़ैनब-ए-दिलगीर है x 2

ज़ैनब की तमन्‍ना है "सादिक़" ये ग़मे सरवर
तस्कीने दिले ज़हरा ये मातमे शब्बीर है

शाम का बाज़ार है और ज़ैनब-ए-दिलगीर है x 2

--------------------------------------------------------
Shaam ka Baazaar hai aur Zainab-e-dilgeer hain x 5

Beemar ka ghamkhar ka bekas ka hai ye aalam
ek tauq hai gardan me aur paanv me zanjeer hai

Shaam ka Baazaar hai aur Zainab-e-dilgeer hain x 2

Maara hai kise tumne aur qaid kisko x 2
Hothon pe musalmaano kyo naraye taqbeer hai

Shaam ka Baazaar hai aur Zainab-e-dilgeer hain x 2

 Paamaal tujhe zinda aadan ne kiya Qasim x 2
Farwa ki zuba hai aur ye dard ki taqreer hai

Shaam ka Baazaar hai aur Zainab-e-dilgeer hain x 2

Naize pe nahi rukta har baar sare ghazi x 2
Balwe me khule sar jo Shabbir ki humsheer hai

Shaam ka Baazaar hai aur Zainab-e-dilgeer hain x 2 

Hai tasht me shah ka sar beparda khadi khwahar
Ek sabr ka Quran hai ek dard ki tafseer hai 

Shaam ka Baazaar hai aur Zainab-e-dilgeer hain x 2 

Ai shamiyo mat cheeno isko sar-e-Zainab se 
Zahra ki rida hai ye chadar-e-tatheer hai

Shaam ka Baazaar hai aur Zainab-e-dilgeer hain x 2

Zainab ki tamanna hai sadiq ye bane Sarwar
Taskeen-e-dil-e-Zahra ye Matam-e-Shabbir hai

Shaam ka Baazaar hai aur Zainab-e-dilgeer hain x 2

No comments:

Post a Comment

Comments are going to be moderated

Aseere fauj-e-sitam qaidi-e-mehan Zainab

असीरे फौज-ए-सितम क़ैदी-ए-मेहन ज़ैनब है जिसका आयत-ए-ततहीर पैरहन ज़ैनब इमामतों की मददगार ख़स्तातन ज़ैनब है शान-ए-दीने ख़ुदा जान-ए-पंजतन ज़ैनब ...