Tasveer-e-wafa hai x2
Zehra ki dua hai x2
Abbas hai Abbas x3
Zahra ke iftekhar ka Abbas naam hai x2
Haider ki yaadgar ka Abbas naam hai x2
Shabbeer ke isaar ka Abbas naam hai x2
Pyaaso ke aitbaar ka Abbas naam hai x2
Saqqa-e-Ahlebait pe kya guftugu kare
Daman nichor de to farishte wazu kare
Do naam ek zaat ke Abbas aur Ali
Paikar hai mujjezaat ke Abbas aur Ali
Matloob kainaat ke Abbas aur Ali
Lagte hai ek saath ke Abbas aur Ali
Chader Ali jo odhe Payamber dikhai de
Ghazi ho gar naqaab me Haider dikhai de
Shaban' ki char ko hua Abbas ka nuzul
Aur teesri ko aaya jigar gosha-e-Rasool
Aane me bhi Hussain pe sabqat na ki qubool
Abbas-e-bawafa ki wafa ka hai ye usool
Baad-e-Hussain dahar me aaya hai is tarah
Suraj ke baad chaand nikalta hai jis tarah
Ghairat ki khemagaah hai Abbas ki nazar
Ain-e-khuda ki chaah hai Abbas ki nazar
Shabeeriyat panah hai Abbas ki nazar
Mahr-e-Tawaf-e-Shah hai Abbas ki nazar
Aa ker jaha me aankho se chooma Hussain ko
Duniya se jaate waqt bhi dekha Hussain ko
Shere Khuda ke Sher ki mumkin nahi misaal
Shamsheer is jari ki hai aale nabi ki dhaal
Haasil use hai zabt-e-shujaat ka bhi kamaal
Ab tak hai uske ghaiz se dariya ka ghair-e-haal
Duniya natija dekh le ghazi ke sabr ka
Paani tawaf karta hai pyaase ki qabr ka
Aflaq ko zami pe bicha deta ye jari
Thokar se do jaha ko hila deta ye jari
Mitti me shamiyo ko mila deta ye jari
Siffin Karbala ko bana deta ye jari
Roka na hota gar ise hukme Imam ne
Le aata ye Furat ko khaimo ke samne
Kya likhkhe iski shaan "Takallum" tera qalam
Abbas ki wafa se wafao ka hai bharam
Sadqa hai iske shaano ka ghar ghar pe hai alam
Awaaz de raha hai koi sahib-e-karam
Sad afreen tarbiyate dil nasheen ko
Zehra Salaam karti hai Ummul Baneen ko
Abbas hai Abbas x3
No comments:
Post a Comment
Comments are going to be moderated